Monday, April 13, 2015

subh nau aaj muskuree hai

subh nau aaj muskuree hai
zindgi mein bahar aae hai

rahe ulfat mein rakh diya hai qadam
aashqi daun par lagae hai

khak ho jaoon phir to samjhoge
kis ne kis se wafa nibhae hai

aaene mein mujhe utar ke dekh
mere rag rag mein parsae hai

bik na jaun kahin sare bazar
sab ne boli meri lagae hai 

ye shaur aise hi nahin aaya
waqt ki maar usne khae hai

kitna mayuskun hai mustaqbil
samne nafratoon ki khae hai

jab bhi uski ana pe chot lagi
khudsari kaise muskurae hai

muflisi hai miri baqar 'jamil'
band mutthi miri gadae hai 

jamilurrehman 'jamil' jhansvi

Saturday, April 11, 2015

husn ki mein vo hasin tasvir hoon

husn ki mein vo hasin tasvir hoon
titliyon ke jism par tehrir hoon

mere chehre se ayan har baat hai
dekhiye mein waqt ki tasvir hoon

hanth apna dur hi rakhiye huzur
mein kisi ke paun ki zanzir hoon

doston ke vaste hoon misle gul
dushmano ke vaste shamshir hoon

mujhse manzil ka pata mat puchiye
mein to khud bhatka hua rahgir hoon

jisko dekha tha kabhi 'Iqbal' ne
mein usi hi khwab ki tabir hoon

Iqbal banne 'jhansvi'

Thursday, April 9, 2015

es tarah bekal hai dil tujhse bichad jane ke baad

es tarah bekal hai dil tujhse bichad jane ke baad
jis tarah tadpe hai machli ret par aane ke baad

dil ko behlaya hai de de kar tasalli har tarah
jab bhi machla dil hamara aap ke jane ke baad

mujh ko ghayal kar ke kyon lin apne sar ruswaeyan
qatal kar dete na hota zikr mar jane ke baad

lazzate gham se na thee hum aashna pehle huzur
gham se yarana hua hai aap ke aane ke baad

ishq duniya mein chupae se bhi chupta hai kahin
ghair mumkin hai n mehke phool khil jane ke baad

vo hi vo har su nazar aane laga dcwanavar 
ye mila hai aashqi mein hasti mit jane ke baad

jab hua ahsas unko thee 'munawwar' bequsur 
ghamzada hai zakhmkari dil ko pahuchane ke baad

munawwar khan 'munawwar'

Wednesday, April 8, 2015

hazaron rang ke phoolon ka ek guldan lagta hai

hazaron rang ke phoolon ka ek guldan lagta hai
jahan mein sabse pyara apna hindustan lagta hai

kisi ka dil dukha dena bahut aasan lagta hai
jo dil ko jod de veh sahibe eman lagta hai

baha kar khune nahak jo pasheman bhi nahin hota
libase aadmi mein veh hamein haiwan lagta hai

ye hai us dubte insan ki mayusi ki sachchae
use tinke bhi aise waqt mein bhagwan lagta hai

kabhi usne bhi meethe phal diye the daure mazi mein
jo budha ped tum ko aaj kar bejan lagta hai

'jamil' ab jazbae insaniyat dhundhun kahan jakar
"zamana aadmi ke dard se anjan lagta hai"

Jamilurrehman ' Jamil' Jhansvi

jhoot ko sach bataeye sahab

jhoot ko sach bataeye sahab
apna sikka jamaeye sahab

hain to hamam mein sabhi nange
phir bhi izzat bacheye sahab

aaj makkari koi aib nahin
iski khubi ginaeye sahab

aib auron ke dekhte kya hain
apna chehra chupaeye sahab

desh kangal ho na jaye 'jamil'
aur rishwat na khaeye sahab

Jamilurrehman 'jamil' jhansvi


Tuesday, March 31, 2015

jis hasin surat ko hum ek chand ka tukda kahein

jis hasin surat ko hum ek chand ka tukda kahein
ye jahan wale usi ka humko dewana kahein

tu hi mehromah mein phoolon mein tu zarron mein tu
kyun na har shai mein khuda hum tera hi jalwa kahein

thak gaein sun-sun ke vo bhi apne gham ki dastan
ghar ki diwaron se tanhaee mein hum kya kya kahein

sun ke chalta nahin rahe sadaqat doston
kyun na aise shaks ko behra kahein andha kahein

bunte bunte jaal makdi phas gae  khud jaal mein
uski es danishwari ko log aakhir kya kahein

aaena insan ki achchae kya batlaegein
hai wahi achcha ki jisko log sab achcha kahein

log rahat ki jagah duniya ko kehtein hain magar
phalsafi 'Iqbal' duniya ko faqat dhoka kahein

Iqbal banne 'Jhansvi' 

Sunday, March 29, 2015

kuch to keh teri badli hue fitrat kyon hai

kuch to keh teri badli hue fitrat kyon hai
kya hua tujh ko teri aisi fazihat kyon hai
itna behshi tu nahin tha kabhi isse pehle
ho ke insan ye haiwan si sirat kyon hai

ye hawas kaise tere dil mein utar aae hai
ye jo aurat hai teri beti hai, behan hai mae hai
pak rishton ko bhi zalim nahin baksha tune
behayae tujhe kis mod pe le aae hai

dekh ye waqt ka dhara hai badal jayega 
ye tera josh junu lamhon mein dhal jayega
ab na sambhla to kahin maut na le jaye tujhe
ye tera zulm tujhe khud hi nigal jayega

ab kisi aur bharose ka bharosa na karo
bekhatar ho kisi anjam ki parvah na karo
hoshmandane watan se yahi kehta hai 'Jamil'
jab bhi ho aisa tamasha khade dekha na karo

Jamilurrehman ' Jamil' Jhansvi