Sunday, November 18, 2007

jisne maira chain hai luta, loot liya sansar

jisne maira chain hai luta, loot liya sansar
wo harjayee kya jane hoota kya hai pyar

maine jiske pooja ki dil main jise basaya
usi bebafa ne mujh ko pal pal bahut rulaya
aisi duniya main kis pe koun kare aitbar

wo harjayee kya jane.......................

jis din se uski duniya main maine qadam rakha tha
chand bhi khwabon main aa ke aagosh main mere dikha tha
milan ke bad judaye meri mkismat hai bezar

wo harjayee kya jane......................

aagaz hai ye anjam nahi hai pyar mera badnam nahin hai
abhi safar shuru kiya hai, subha hai yeh, abhi sham nahin hai
tum andhiyari galiyon mae, gum na ho jana yaar

wo harjayee kya jane.......................

jisne maira chain hai luta, loot liya sansar
wo harjayee kya jane hoota kya hai pyar

mazhar ali "kasmi"

dushman bana zamana phir bhi ye dil

dushman bana zamana phir bhi ye dil na mana
thokar main rakh ke duniya likha Ishq ka fasana

meri chahaton pe qaboo to khuda bhi rakh na paya
mujhe chahana tha tujh ko maine toot kar ke chaha
mujhe par Ishq main tha doob kar ke jana

thokar main rakh ke duniya ...............................

mera dil bana ke bhagwan ghabra gaya hoga
diwangi ko dekh ke gash kha gaya hoga
dil ke lagi bujhaye binu esa tana bana

thokar main rakh ke duniya ..............................

teri aarjoo main hamne khud ko bhula diya hai
khushiyon ko tarq kar ke gham apna liye hai
gham ko gale lagane ka yahi ek hai bahana

thokar main rakh ke duniya ..............................
dushman bana zamana phir bhi ye dil na mana
thokar main rakh ke duniya likha Ishq ka fasana

mazhar ali "kasmi"

Saturday, November 17, 2007

mohabbat kya bala hai karke hi koe jan sakta

mohabbat kya bala hai karke hi koe jan sakta hai
na karne wala dard es ka nahin pahchan sakta hai

ye raton ko jagati hai pareshani bhi lati hai
mohabbat karne walon ko bahut yeh aazmati hai
ho pana gar muqam aala tabhi pahchan sakta hai
mohabbat kya bala hai

mohabbat kya bala hai....................................

esi se duniya chalti hai esi se sare rishte hai
mohabbat karne wale hi zamane main farishte hai
jo dil se dil mila lega tabhi tu jan sakta hia
mohabbat kya bala hai

mohabbat kya bala hai...................................

agar ho darde dil thoda to samjho ho mohabbat main
mita sakna mohabbat ko nahin fir teri kuwwat main
mohabbat hai agar es ko zamana maan sakta hia
Mohabbat kya bala hai

mohabbat kya bala hai...................................

mohabbat thokron main rakhti hia sare zamane ko
aur hardam rahti hai taiyar yeh khud ko mitane ko
zamana mit-te huai dekh ke ahsas karta hai
mohabbat kya bala hai

mohabbat kya bala hai karke hi koe jan sakta hai
na karne wala dard es ka nahin pahchan sakta hai

mazhar ali "kasmi"

Friday, November 16, 2007

maine uuse chaha hai yeh maira gunah hai

maine uuse chaha hai yeh maira gunah hai
es gunah ki saza milti hai suna hai

ranjha ki tarha mujh ko mashhoor nahi hona
socha tha dil ke hatoo majboor nahi hona
usse nazar mili to main do jahan bhoola
socha tha maine khud se khud door nahi hona
ye darde dil hi bas ab es ki dawa hai

es gunah ki saza ...............................

uska hasin chehra dil main chupa mke dekha
diwangi ki had tak dil so laga ke dekha
kismat main mere uski ye chahhtain likhi thi
en chahhaton main sachmuch kuch alag maza hai

es gunah ki saza ..............................

ye saza khatam hogi koi mayad hai
kya umar guzar jayegi ye to aazab hai
insan hoon main esliye main pyar karoonga
dil ka mere ya rab tujh ko jawab hai
mitti main milayega jo mitti se bana hai

es gunah ki saza ..............................
maine use chaha hai yeh maira gunah hai
es gunah ki saza milti hai suna hai

mazhar ali "kasmi"

Sunday, October 28, 2007

kaise beet rahain hain din,

kaise beet rahain hain din, kaise beet rahin hain ratein
teri yaad satati hai aur wo bhooli bisri batein

tajmahal sa jism banaya, sangmarmar sa roop diya
us kudrat ka ajab karishma chehre pai kya noor diya
kaya kanchan se di aur husn diya kya khob diya
usko daine wale ne jo bhi diya bharpoor diya
bhula na paya us moorat ko aaj bhi taza hai yadain

teri yaad satati hai aur wo bhooli bisri batein

ek nazar ko taras raha hoon, kya puri aas nahin hogi
main bezaban hoon, bin zaban kya meri baat nahin hoogi
rahe ishq main main qurbani chahoo to de sakta hoon
tu kahe agar to main pyar main yunhi ghut ghut ke mar sakta hoon
lakh hoon chup aur na bolun par mairi bhi hain pharyadain

teri yaad satati hai aur wo bhooli bisri batein

kaise beet rahain hain din, kaise beet rahin hain ratein
teri yaad satati hai aur wo bhooli bisri batein

shikcha

phadhne se hi phelega ghar-ghar main ujala
tum ko hadise pak ka deta hoon hawala

shikcha hamain sikhati hai jeena ka tarika
bin shikcha hai jeewan bina patwar ki noka
jeewan ghuzarna hai to padhna hai zarori
yoon hi ghuzar sakte hoo umar sari ki sari
padh kar ke hi kha sakte ho sone ka niwala

tum ko hadise pak ka deta hoon hawala

tum se kaha hai padhne ko tum chin bhi jao
jo hi chipa huaa use tum khoj ke laao
padhna hai ibadat ise tum punch lo kisi se
padhne ke liye bhai jut jao abhi se
warna nahin milega tumhe rone bhi wala

tum ko hadise pak ka deta hoon hawala

padh lo ke waqt hai abhi kich bigdha nahin hai
sab kuch tumhare hath hai, kuch phisla nahin hai
jahil ko pata hota kahan deen hai duniya
jahil ko loot leta hai chalak sa baniya
padh kar ke pachalo na nikal jaye diwala

tum ko hadise pak ka deta hoon hawal

jazba jagao padhne ka phir dekho karishna
sab kuch tumhara hoga yeh deen yeh duniya
roshan rahegi rah na kanta koee chubhega
har shaks teri bat tawajjo se sunega
wo kamyab jisne alam es ka sambhala

tum ko hadise pak ka deta hoon hawala

phadhne se hi phelega ghar-ghar main ujala
tum ko hadise pak ka deta hoon hawala

mazhar ali "kasmi"

is tarha maire khwab bikhero na meri jaan

is tarha maire khwab bikhero na meri jaan
thehra huaa paani hai, aa jaye na toofan

yadoon ke sahare bhi ji sakta hoon lekin
dil manta nahi hai, aate hai yaad wo din
chup-chup ke dekhna tera sharmana jhijhakna
kya wo hasin din the hain aaj bhi nishan

thehra huaa paani hai, aa jaye na toofan

koshish hai hata doon main, ye dhund yeh kohra
nazroon ke samne ho tera hasin chehra
dhadkan se tere mari dhadkan judhi huee hai
sanso ki door tujh se mairi bandhi huee hai
kaise bhula do tujhmain atke hai mere pran

thehra huaa paani hai, aa jaye na toofan

is tarha maire khwab bikhero na meri jaan
thehra huaa paani hai, aa jaye na toofan

mazhar ali "kasmi"

pahele uus ne prit badai phir dhoke se war kiya

pahele uus ne prit badai phir dhoke se war kiya
aaj bhi mera dil kehta hai kya ye tu ne yar kiya

wo hi dil main basta tha, wo hi dil main basta hai
bholna chahain bhol na payein jane kya yeh rishta hai
us ke dil ki wo jane, main apne dil ko jane hoon
meri preet nahin hai jhote, apne prem ko pahchane hoon
bhol gaya wo kasme wade mukra aur inkar kiya

aaj bhi mera dil kehta hai kya ye tu ne yar kiya

meri rooh main rachi basi hai jaise pholoon main khushbu
us ka roop hai sahaj salona aur hai nayno main jadoo
us ki tikhi chitwan se main bacha na paya es dil ko
dauan laga baitha bin choche kaise bataun mehfil ko
pyar main bin shoche samjhe ek tarfa ekrar kiya

aaj bhi mera dil kehta hai kya ye tu ne yar kiya

dard se rishta jod ke mera mujh ko bahut rulaya hai
main jhonka tha mast hawa ka gham se mujhe milaya hai
sham sawere har pal har dam naam main us ka leta hoon
koe khata ho koe galte apne sar le leta hoon
usko main mahfooz hakhe hoon aise maine pyar kiya

aaj bhi mera dil kehta hai kya ye tu ne yar kiya

pahele uus ne prit batai phir dhoke se war kiya
aaj bhi mera dil kehta hai kya ye tu ne yar kiya

mazhar ali "kasmi"

Thursday, August 16, 2007

pata hoon khud ko shahjahan

Pata hoon khud ko shahjahan aur tujhe mumtajmahal
taj ke roop mein hoti hai tab ek aad gazal
toot-ta dil to banata hai kahan koi kabhi
dafn ho jate hain sene main kai tajmahal

hum dil ke hatoon aise majboor ho gaye

hum dil ke hatoon aise majboor ho gaye
hum khud se duur duur bahut duur ho gaye

na din ka chain hai na ratoon main hai qarar
na zindgi se pyar hai, sansoon se nahin pyar
es tarha koi kaise guzare taman umar
jab zindgi hi khud se ho jaye hai bezar
dho dho ke zindgi ko choor choor ho haye

hum khud se duur duur bahut duur ho gaye

kis kis ne khela dil se kaise batain hum
es gham se saaz usko kaise sumaye hum
zakhmi hai dil ko chir ke kaise dhikhain hum
ek zakham ho to thik hai kitne ginaye hum
wo zakham purane ab nasoor ho gaye

hum khud se duur duur bahut duur ho gaye
na khatam hone wala ab intazar hai
wo jante hai behad hamein unse pyar hai
tanhaiyan taqdir main likh di nasib ne
karta hai zulm aur na wo sharmsar hai
gairon ko chodiye apne hi kafoor ho gaye

hum khud se duur duur bahut duur ho gaye
hum dil ke hatoon aise majboor ho gaye
hum khud se duur duur bahut duur ho gaye

bichad ke aap se hum ko bada ahsas hota hai

bichad ke aap se hum ko bada ahsas hota hai
jiya is zindgi ko soch ke ye dil bhi rota hai

tumhare bin dhadkne ko mana karta hai mera dil
mera dil sham subha ye duwa karta hai aakar mil
jo mil jao to kuch zindgi ki aas bandh jaye
nahi to ret mutthi se na jane kab phisal jaye
ye diwane ki kismat hai jo hans kar chain khota hai

jiya is zindgi ko soch ke ye dil bhi rota hai

tumhare bin nahin hai chain na dil hai qarar aata
ye dil jo paas main hota to dar pe na bimar aata
mere aansoo meri pharyad koi kam na aayi
wo sangdil hai na mana mane di lakh duhai
khuda se mangta milta na mango kuch na milta hai

jiya is zindgi ko soch ke ye dil bhi rota hai

ajab hai pyas is dil ki nazar aaye to bujhti hai
nahi milta hai jab mehboob to sholoon si bhadhakti hai
ye dil hai bada nadan ise samjhaun main kaise
wafadari nahin fitrat use batlaoon main kaise
mera dil bhola bhala sida sada mujhe mehsoos hota hai

jiya is zindgi ko soch ke ye dil bhi rota hai
bhichad ke aap se hum ko bada ahsas hota hai
jiya is zindgi ko soch ke ye dil bhi rota hai

mazhar ali "kasmi"

kaise tum ko bhula sakenge tum to kitne pyare ho

kaise tum ko bhula sakenge tum to kitne pyare ho
pal pal mera man kehta hai tum to kitne pyare ho

tere nazar ke teer se ghayal main aashiq aawara hoon
dard chipaye phirta hai jo ghayal woh bechara hoon
kabhi main roota kabhi hoon hasta kabhi bhtakta rahoon main
kabhi asar to aayega dard bhari in aahon main
mera koi nahin duniya main yum hi ek sahare ho

pal pal mera man kehta hai tum to kitne pyare ho

ishq main aise halat hogi mujh ko ye malum na tha
jitna main majboor hoon utna majnoo bhi majboor na tha
tere did ki khatir bhatkoon dar dar thokar khata hoon
mujh ko teri chahat kitni tujh ko aaj batata hoon
hum to tere janam se hain aur mana tum hamare ho

pal pal mera man kehta hai tum to kitne pyare ho

nazroon ko bhata hai koi ishq ki loow lag jati hai
jitna bujhao bujhe nahai wo aur bhadhakti jati hai
tere pyar main doob gaya hoon bachna bahut muhal hai
khasta hall hain kashti meri himmat bhi behal hai
main phasa hoon bich bhanwar main tum pahunche ek kinare ho

pal pal mera man kehta hai tum to kitne pyare ho
kaise tum ko bhula sakenge tum to kitne pyare ho
pal pal mera man kehta hai tum to kitne pyare ho

mazhar ali "kasmi"

Saturday, March 24, 2007

MAA BAAP

Maa Baap Ki Khidmat Karo Khidmat Karo Pyare
Ban Jaoge Un Ke Liye Tum Aankhon Ke Taarae

Rakh Kar ke Kokh Main Tujhe Khoon Pilaya
Mangi Duaiyan Mannatein Tab Tujh Ko Jilaya
Jujhi Wo Maut Se Tab Yeh Martaba Paya
Chati Chule Ke Tujh Ko Tujhe Dhanya Banaya
Karte Rahe Woh Farz Ada Woh To Hare

Maa Baap Ki Khidmat Karo Khidmat Karo Pyare

Pehla Tumhara Farz Hain Khidmat Karo Unki
Sukh Chain Aur Jannat Kadmon Main Hai Jinki
Ho Gar Bade Ghar Main Choton Ko Bhi Samjhao
Chote Agar Ho Ghar Main To Baat Maan Jao
Uncha Rahega Rutba Yahan Jukh Ke Hi Pyare

Maa Baap Ki Khidmat Karo Khidmat Karo Pyare

Maa Baap Pal Lete Hain Bachche Ho Chahe Char
Bacchon Se Nahin Milta Hai Badle Main Un Ko Pyar
Bachche Bade Hote Hi Samajhte Hain Un Ko Bojh
Hote Hi Byah Unke Badal Jati Hai Un Ki Soch
Hai Haath Mein Tumhare ChamKalo Sitare

Maa Baap Ki Khidmat Karo Khidmat Karo Pyare

Maa Baap Ke Dil Se To Samandar Bhi Hai Chota
Maa Baap Chahte Hain Bhale Daam Ho Khota
Ho Jaye Tum Se Galti, Galti Mana Lo Apni
Dil Mae Base Rahoge Galti Ho Chahe Jitni
Maango To Maafi Maaf Hai Kar Detae Bechare


Maa Baap Ki Khidmat Karo Khidmat Karo Pyare

Aulad Jo Maa Baap ki Na Baat Sunega
Usko Isi Janam Mae Yahan Badla Milega
Maa Baap ke Tu Pair Dabanae Se Bachega
Baccha Tera Dekhega Aur Tujh Se Kahega
Maine Tumhi Ko Dekh Ke Hain Pair Pasare

Maa Baap Ki Khidmat Karo Khidmat Karo Pyare
Ban Jaoge Un Ke Liye Tum Aankhon Ke Taarae

mazhar ali 'kasmi'
mobile. 9452590559