Saturday, March 24, 2007

MAA BAAP

Maa Baap Ki Khidmat Karo Khidmat Karo Pyare
Ban Jaoge Un Ke Liye Tum Aankhon Ke Taarae

Rakh Kar ke Kokh Main Tujhe Khoon Pilaya
Mangi Duaiyan Mannatein Tab Tujh Ko Jilaya
Jujhi Wo Maut Se Tab Yeh Martaba Paya
Chati Chule Ke Tujh Ko Tujhe Dhanya Banaya
Karte Rahe Woh Farz Ada Woh To Hare

Maa Baap Ki Khidmat Karo Khidmat Karo Pyare

Pehla Tumhara Farz Hain Khidmat Karo Unki
Sukh Chain Aur Jannat Kadmon Main Hai Jinki
Ho Gar Bade Ghar Main Choton Ko Bhi Samjhao
Chote Agar Ho Ghar Main To Baat Maan Jao
Uncha Rahega Rutba Yahan Jukh Ke Hi Pyare

Maa Baap Ki Khidmat Karo Khidmat Karo Pyare

Maa Baap Pal Lete Hain Bachche Ho Chahe Char
Bacchon Se Nahin Milta Hai Badle Main Un Ko Pyar
Bachche Bade Hote Hi Samajhte Hain Un Ko Bojh
Hote Hi Byah Unke Badal Jati Hai Un Ki Soch
Hai Haath Mein Tumhare ChamKalo Sitare

Maa Baap Ki Khidmat Karo Khidmat Karo Pyare

Maa Baap Ke Dil Se To Samandar Bhi Hai Chota
Maa Baap Chahte Hain Bhale Daam Ho Khota
Ho Jaye Tum Se Galti, Galti Mana Lo Apni
Dil Mae Base Rahoge Galti Ho Chahe Jitni
Maango To Maafi Maaf Hai Kar Detae Bechare


Maa Baap Ki Khidmat Karo Khidmat Karo Pyare

Aulad Jo Maa Baap ki Na Baat Sunega
Usko Isi Janam Mae Yahan Badla Milega
Maa Baap ke Tu Pair Dabanae Se Bachega
Baccha Tera Dekhega Aur Tujh Se Kahega
Maine Tumhi Ko Dekh Ke Hain Pair Pasare

Maa Baap Ki Khidmat Karo Khidmat Karo Pyare
Ban Jaoge Un Ke Liye Tum Aankhon Ke Taarae

mazhar ali 'kasmi'
mobile. 9452590559