Thursday, August 16, 2007

pata hoon khud ko shahjahan

Pata hoon khud ko shahjahan aur tujhe mumtajmahal
taj ke roop mein hoti hai tab ek aad gazal
toot-ta dil to banata hai kahan koi kabhi
dafn ho jate hain sene main kai tajmahal

hum dil ke hatoon aise majboor ho gaye

hum dil ke hatoon aise majboor ho gaye
hum khud se duur duur bahut duur ho gaye

na din ka chain hai na ratoon main hai qarar
na zindgi se pyar hai, sansoon se nahin pyar
es tarha koi kaise guzare taman umar
jab zindgi hi khud se ho jaye hai bezar
dho dho ke zindgi ko choor choor ho haye

hum khud se duur duur bahut duur ho gaye

kis kis ne khela dil se kaise batain hum
es gham se saaz usko kaise sumaye hum
zakhmi hai dil ko chir ke kaise dhikhain hum
ek zakham ho to thik hai kitne ginaye hum
wo zakham purane ab nasoor ho gaye

hum khud se duur duur bahut duur ho gaye
na khatam hone wala ab intazar hai
wo jante hai behad hamein unse pyar hai
tanhaiyan taqdir main likh di nasib ne
karta hai zulm aur na wo sharmsar hai
gairon ko chodiye apne hi kafoor ho gaye

hum khud se duur duur bahut duur ho gaye
hum dil ke hatoon aise majboor ho gaye
hum khud se duur duur bahut duur ho gaye

bichad ke aap se hum ko bada ahsas hota hai

bichad ke aap se hum ko bada ahsas hota hai
jiya is zindgi ko soch ke ye dil bhi rota hai

tumhare bin dhadkne ko mana karta hai mera dil
mera dil sham subha ye duwa karta hai aakar mil
jo mil jao to kuch zindgi ki aas bandh jaye
nahi to ret mutthi se na jane kab phisal jaye
ye diwane ki kismat hai jo hans kar chain khota hai

jiya is zindgi ko soch ke ye dil bhi rota hai

tumhare bin nahin hai chain na dil hai qarar aata
ye dil jo paas main hota to dar pe na bimar aata
mere aansoo meri pharyad koi kam na aayi
wo sangdil hai na mana mane di lakh duhai
khuda se mangta milta na mango kuch na milta hai

jiya is zindgi ko soch ke ye dil bhi rota hai

ajab hai pyas is dil ki nazar aaye to bujhti hai
nahi milta hai jab mehboob to sholoon si bhadhakti hai
ye dil hai bada nadan ise samjhaun main kaise
wafadari nahin fitrat use batlaoon main kaise
mera dil bhola bhala sida sada mujhe mehsoos hota hai

jiya is zindgi ko soch ke ye dil bhi rota hai
bhichad ke aap se hum ko bada ahsas hota hai
jiya is zindgi ko soch ke ye dil bhi rota hai

mazhar ali "kasmi"

kaise tum ko bhula sakenge tum to kitne pyare ho

kaise tum ko bhula sakenge tum to kitne pyare ho
pal pal mera man kehta hai tum to kitne pyare ho

tere nazar ke teer se ghayal main aashiq aawara hoon
dard chipaye phirta hai jo ghayal woh bechara hoon
kabhi main roota kabhi hoon hasta kabhi bhtakta rahoon main
kabhi asar to aayega dard bhari in aahon main
mera koi nahin duniya main yum hi ek sahare ho

pal pal mera man kehta hai tum to kitne pyare ho

ishq main aise halat hogi mujh ko ye malum na tha
jitna main majboor hoon utna majnoo bhi majboor na tha
tere did ki khatir bhatkoon dar dar thokar khata hoon
mujh ko teri chahat kitni tujh ko aaj batata hoon
hum to tere janam se hain aur mana tum hamare ho

pal pal mera man kehta hai tum to kitne pyare ho

nazroon ko bhata hai koi ishq ki loow lag jati hai
jitna bujhao bujhe nahai wo aur bhadhakti jati hai
tere pyar main doob gaya hoon bachna bahut muhal hai
khasta hall hain kashti meri himmat bhi behal hai
main phasa hoon bich bhanwar main tum pahunche ek kinare ho

pal pal mera man kehta hai tum to kitne pyare ho
kaise tum ko bhula sakenge tum to kitne pyare ho
pal pal mera man kehta hai tum to kitne pyare ho

mazhar ali "kasmi"