Sunday, October 28, 2007

kaise beet rahain hain din,

kaise beet rahain hain din, kaise beet rahin hain ratein
teri yaad satati hai aur wo bhooli bisri batein

tajmahal sa jism banaya, sangmarmar sa roop diya
us kudrat ka ajab karishma chehre pai kya noor diya
kaya kanchan se di aur husn diya kya khob diya
usko daine wale ne jo bhi diya bharpoor diya
bhula na paya us moorat ko aaj bhi taza hai yadain

teri yaad satati hai aur wo bhooli bisri batein

ek nazar ko taras raha hoon, kya puri aas nahin hogi
main bezaban hoon, bin zaban kya meri baat nahin hoogi
rahe ishq main main qurbani chahoo to de sakta hoon
tu kahe agar to main pyar main yunhi ghut ghut ke mar sakta hoon
lakh hoon chup aur na bolun par mairi bhi hain pharyadain

teri yaad satati hai aur wo bhooli bisri batein

kaise beet rahain hain din, kaise beet rahin hain ratein
teri yaad satati hai aur wo bhooli bisri batein

shikcha

phadhne se hi phelega ghar-ghar main ujala
tum ko hadise pak ka deta hoon hawala

shikcha hamain sikhati hai jeena ka tarika
bin shikcha hai jeewan bina patwar ki noka
jeewan ghuzarna hai to padhna hai zarori
yoon hi ghuzar sakte hoo umar sari ki sari
padh kar ke hi kha sakte ho sone ka niwala

tum ko hadise pak ka deta hoon hawala

tum se kaha hai padhne ko tum chin bhi jao
jo hi chipa huaa use tum khoj ke laao
padhna hai ibadat ise tum punch lo kisi se
padhne ke liye bhai jut jao abhi se
warna nahin milega tumhe rone bhi wala

tum ko hadise pak ka deta hoon hawala

padh lo ke waqt hai abhi kich bigdha nahin hai
sab kuch tumhare hath hai, kuch phisla nahin hai
jahil ko pata hota kahan deen hai duniya
jahil ko loot leta hai chalak sa baniya
padh kar ke pachalo na nikal jaye diwala

tum ko hadise pak ka deta hoon hawal

jazba jagao padhne ka phir dekho karishna
sab kuch tumhara hoga yeh deen yeh duniya
roshan rahegi rah na kanta koee chubhega
har shaks teri bat tawajjo se sunega
wo kamyab jisne alam es ka sambhala

tum ko hadise pak ka deta hoon hawala

phadhne se hi phelega ghar-ghar main ujala
tum ko hadise pak ka deta hoon hawala

mazhar ali "kasmi"

is tarha maire khwab bikhero na meri jaan

is tarha maire khwab bikhero na meri jaan
thehra huaa paani hai, aa jaye na toofan

yadoon ke sahare bhi ji sakta hoon lekin
dil manta nahi hai, aate hai yaad wo din
chup-chup ke dekhna tera sharmana jhijhakna
kya wo hasin din the hain aaj bhi nishan

thehra huaa paani hai, aa jaye na toofan

koshish hai hata doon main, ye dhund yeh kohra
nazroon ke samne ho tera hasin chehra
dhadkan se tere mari dhadkan judhi huee hai
sanso ki door tujh se mairi bandhi huee hai
kaise bhula do tujhmain atke hai mere pran

thehra huaa paani hai, aa jaye na toofan

is tarha maire khwab bikhero na meri jaan
thehra huaa paani hai, aa jaye na toofan

mazhar ali "kasmi"

pahele uus ne prit badai phir dhoke se war kiya

pahele uus ne prit badai phir dhoke se war kiya
aaj bhi mera dil kehta hai kya ye tu ne yar kiya

wo hi dil main basta tha, wo hi dil main basta hai
bholna chahain bhol na payein jane kya yeh rishta hai
us ke dil ki wo jane, main apne dil ko jane hoon
meri preet nahin hai jhote, apne prem ko pahchane hoon
bhol gaya wo kasme wade mukra aur inkar kiya

aaj bhi mera dil kehta hai kya ye tu ne yar kiya

meri rooh main rachi basi hai jaise pholoon main khushbu
us ka roop hai sahaj salona aur hai nayno main jadoo
us ki tikhi chitwan se main bacha na paya es dil ko
dauan laga baitha bin choche kaise bataun mehfil ko
pyar main bin shoche samjhe ek tarfa ekrar kiya

aaj bhi mera dil kehta hai kya ye tu ne yar kiya

dard se rishta jod ke mera mujh ko bahut rulaya hai
main jhonka tha mast hawa ka gham se mujhe milaya hai
sham sawere har pal har dam naam main us ka leta hoon
koe khata ho koe galte apne sar le leta hoon
usko main mahfooz hakhe hoon aise maine pyar kiya

aaj bhi mera dil kehta hai kya ye tu ne yar kiya

pahele uus ne prit batai phir dhoke se war kiya
aaj bhi mera dil kehta hai kya ye tu ne yar kiya

mazhar ali "kasmi"