Saturday, January 31, 2009

voh jane tamanna se kar lega jo yarana

voh jane tamanna se kar lega jo yarana
har rajo alam gham se ho jayega begana

kundan sa badan tera chandan ke tarha mehke
zulfein hein ghataein to aankhein teri meikhana

mukhda hai kanwal jaisa aur phool si hain bahein
ab kaun na chahega en bahoon mein mar jana

har phool mein kaliyon mein gulshan ki fazaoon mein
sab mein hai mehak teri aye nargise mastana

mana ke voh zalim hai, qatil hai, sitamgar hai
hairat hai, jise dekho uska ki hai deewana

es aalamein gamgin mein tujhse hi to rownaq hai
jo tu na kahin hota ban jata yeh ghamkhana

voh lutfo karam ho ya bedado sitam tere
har hal mein hoon mein to bas tera hi deewana

hai shart 'qamar' uski dil usko hi voh dega
de de jo uuse jano eman ka nazrana

haji mohammad siddique khan 'qamar'

apnoo se aaj dor huaa ja raha hoon mein

apnoo se aaj dor huaa ja raha hoon mein
shayad kisi khata ki saza pa raha hoon mein

qismat mein dhoop hai to kyon saye se ho gila
thokar qadam qadam pe nai kha raha hoon mein

rahoon ki kuch khabar hai na manzil ka hai pata
anjan rastoon pe chala ja raha hoon mein

mehboob ki ye zid thi tu ghar chod kar na ja
dil tod kar kisi ka chala aa raha hoon mein

pehchan thi kal tak meri mehfiloon mein aapki
gumnam mehfiloon se hua ja raha hoon mein

duniya ne aaj chod diya 'ashq' mera sath
tanheyon mein aaj jiya ja raha hoon mein

umar ashq jhansvi

Friday, January 23, 2009

jhunti rasmoon ke todkar tale

jhuti rasmoon ke todkar tale
aabhi ja mujhko chahnewale

humne jitne bhi khwab dekhe thee
kisne aankhon mein qatal kar dale

kaun banva sakega tajmahal
ab kahan aise chahnewale

bulbule hi nahin hain pani par
ye hai dariya ke jism par chale

unko mazil mile to kaise mile
jinke pairon main hain nahin chale

har taraf jhoont ki hukumat hai
sach ke honton pe lag gaye tale

ab to unko hi das rahe hain 'uma'
jin saperon ne saanp thee paale

uma shree

Thursday, January 15, 2009

neend aajati hamein kanton pe aaram ke sath

neend aajati hamein kanton pe aaram ke sath
tum chale aate agar gardishe aiyam ke sath

yun hai mansoob mera naam tere naam ke sath
tashnagi uljhi ho jaise ke naee jaam ke sath

daste nazuk ko zara tu mere dil par rakh de
jaan niklegi magar niklegi aaram ke sath

pyar ke phool to aankhon mein khila karte hein
kyon sajato ho enhein tum dile nadan ke sath

main to kuch soch ke khola jo lifafe ko "ghulam"
phool sukhe huee nikle tere paigham ke sath

ghulam rasool "kemuri"

gardishe aiyam-pareshani ke waqt
tashnagi - pyas
daste nazuk - nazuk hath (murad mehboob ka hath)

ab zulekha sa kharidar mile ya na mile

ab zulekha sa kharidar mile ya na mile
hum to dil bechenge bazar mile ya na mile

apne har dard pe ro leta hoon chupke chupke
koe humdam koe ghamkhar mile ya na mile

teri zulfon ki ghani chaon mere sath to hai
raah main sayae deewar mile ya na mile

mere diwan ko bechon mujhe neelam karo
waqt pe phir koe fankar mile ya na mile

apni tahae main hum khud hi behal jate hein
teri pazeb ki jhankar mile ya na mile

teri nafrat hi bahut hai mere jine ke liye
zindgi mujh ko tera pyar mile ya na mile

aaj to aa hi gaya hai teri mehfil mein "ghulam"
ab uuse daulate deedar mile ya na mile

ghulam rasool "kemuri"

Wednesday, January 14, 2009

hum tabahi ke ye halat batayein kisko

hum tabahi ke ye halat batayein kisko
zakhm dil gehre hein etney ke dikhayein kisko

kya karein aag bhadakti to hai dil mein sabke
zindgi khud hi chita hai to jalayein kisko

oos ki bundon se bhege hein sabhi ke daman
apne hu dard ka ahsas dilayein kisko

hum na chineyge kisi aur ke honton ki hansi
muskurane ki tamanna mein rulayein kisko

kaun ab dega sahara teri rehmat ke siva
tu hamara hai to aawaz lagaein kisko

kaun bigdi hue taqdir ka sathi hai "nayaz"
es zamane mein bhala apna banayein kisko

nayaz "mahobvi"

Friday, January 9, 2009

teri aabru ki khatir ashkon ko pi raha hoon

teri aabru ki khatir ashkon ko pi raha hoon
ji ji ke mar raha hoon mar mar ke ji raha hoon

tu na mil sakega mujhko ye main janta hoon lekin
teri yaad ke sahare be-aas ji raha hoon

tere bin ye meri hasti ek jaam hai zahar ka
yahi jaam mere humdum din raat pi raha hoon

masumiyat ka teri kahin raaz khul na jaye
sanson ki dor se main hoonton ko si raha hoon

main to hoon nazar main teri hai "ashq" naam mera
tere vaste main lekin ek ajnabi raha hoon


usman "ashq"

Friday, January 2, 2009

ye kisne kehdiya hai ki duniya fuzul hai

ye kisne kehdiya hai ki duniya fuzul hai
jeene ka apne taur-tariqa fuzul hai

parde main rehti aaye hai har cheez qeemti
tum kaise keh rahe ho ki parda fuzul hai

vo khoon ka ho, door ka ya dosti ka ho
aaye na kaam waqt pe rishta fuzul hai

mil-jul ke eski koi to surat nikaliye
aapas main roz-roz jhagadna fuzul hai

khud baghvan ne noch liye hain chaman ke phool
ab aise baghvan pe bharosa fuzul hai

khamoosh reh ke sari balaoon ko tal do
"sharib" yahan pe shoor machana fuzul hai

jabbar "sharib"