Thursday, February 26, 2009

koi bhi hami na dekha

koi bhi hami na dekha meine bismil ki taraf
mein akela hi khada tha sabte-qatil ki taraf

badbaano aur safino ko jala dene ke baad
hamne rasman bhi na dekha mudke sahil ki taraf

nusrato azmat se shayad hum na hote hum kinar
hum agar dekha hi karte apni mushkil ki taraf

raah mein gar ho gaya ahsase nakami tujhe
badh nahin sakta kabhi tu apni manzil ki taraf

humne mana raasta to hai juda sabke 'qamar'
ja rahe hein sab hi lekin ek manzil ki taraf

haji mohammad siddiq 'qamar'

bismil - zakhmi
sabte qatil - qatal karne wala
badbaano - patwar
safino - kashtiyan
nusrato azmat - fatehyabi, kamyabi
ahsase nakami - nakamyabi ka ahsas

Wednesday, February 25, 2009

dekhna hai teri chahat ki saza pane ke baad

dekhna hai teri chahat ki saza pane ke baad
kis pe ho tera sitam mujh pe sitam dhane ke baad

mein to deewana tha lekin aapko kya ho gaya
apni kya halat bana mujhko samjhane ke baad

tune ab tak mujh pe apni rehmatein barsaein hein
mujh pe angare na barsa phool barsane ke baad

darde dil, darde jigar, anjo alam, hirmanoyaas
ye hansin tohfe mile hein pyar ho jane ke baad

apni tehzibo-tamaddun aur adab ka kar khayal
varna kya baqi bachega enke mit jane ke baad

kya kabhi bin phool ki dali ko dekha hai 'qamar'
hai vahi aalam mein unke chale jane ke baad

haji mohammad siddiq 'qamar'

hirmanoyaas - naummidi
tehzibo tamaddun - sanskar

khud ko allah ki ibadat mein lagaye rakhna

khud ko allah ki ibadat mein lagaye rakhna
aur nabi ko bhi tasavvar mein basae rakhna

kabhi jhukna nahin halat ke aage aye dost
housla zindgi bhar apna banye rakhna

tujh ko parkhega zamana tujhe lalach dega
aise mahoul mein eman bachae rakhna

baksh dega khuda ek roz khataein teri
hanth apne tu duaon mein uthae rakhna

kis ko malum ke kab khatam safar ho jaye
dar pe allah ke tu sar ko zhukae rakhna

'ashq' aankhon se kabhi tum nahin girne dena
daulate dard ko duniya se chupae rakhna

umar ashq ' jhansvi'

dilon mein pyar ki khushbu agar basi hogi

dilon mein pyar ki khushbu agar basi hogi
gharon mein amno sukun aur shanti hogi
bahu ko saas bhi beti agar samjhti hai
yaqin kijiye dono mein dosti hogi

haji mohammad siddiq 'qamar'

paid paudhe hi na honge

paid paudhe hi na honge phal kahan se payega
ann jab paida na hoga phir bata kya khaega
nar hi nar ki ekcha karne wale tu ye to bata
nariyan hi jab na hongi nar kahan se layega

haji mohammad siddiq 'qamar'

mana hai devi agar

mana hai devi agar usko satana chood de
khae agni ki qasam to zulam dhana chood de
apni beti ko gar tu khud hi jalta dekh le
ghair ki beti ko shayad tu jalana chood de

haji mohammad siddiq 'qamar'

beti maa baap ko ta umar wafa deti hai

beti maa baap ko ta umar wafa deti hai
waqt pad jaye to khud ko bhi mita deti hai
aaj aurat bani jaan ki dushman iski
bach gaee kokh se to saas jala deti hai

haji mohammad siddiq 'qamar'

fitratan insan jab

fitratan insan jab aisho tarab ka hai ghulam
kaun si majboori le jati hai jangal ki taraf
muflison majboor ko insaf jab milta nahin
bebasi le jati hai phir usko chambal ki taraf

haji mohammad siddiq 'qamar'

Tuesday, February 24, 2009

tu hi jaguzi mere dil mein maqin

tu hi jaguzi mere dil mein maqin
humnashin, humnashin, humnashin, humnashin

hai na aalam mein tujh sa koi hasin
mahjabin, mahjabin, mahjabin, mahjabin

ye tabassum takallum ye teri adaa
dilnashin, dilnashin, dilnashin, dilnashin

ye gule khandazan jane sarbosaman
yasmin, yasmin, yasmin, yasmin

phool qurban hein nazuki pe teri
nazni, nazni, nazni, nazni

teri jannat jahannum aree muhtasib
hai yahin, hai yahin, hai yahin, hai yahin

aaj aaye vo turbat pe meri 'qamar'
aafrin, aafrin, aafrin, aafrin,

haji mohammad siddiq ' qamar'

jaguzi - jagah jagah
maqin - makan
humnashin - sathi
mahjabin - chand jaisin surat
tabassum - muskurahat
takallum - baat karne ka andaz
dilnashin - dil ko achcha lagne wala
khandazan - hansta hua / phool khila hua
sarbosaman - phool
yasmin - mehboob
nazni - nazuk
muhtasib - jo bure kam se roke
turbat - qabr
aafrin - shabash

haryali hai jungle jungle

haryali hai jungle jungle
mehak rahi hai kopal kopal

jane baharan mere dilbar
aaja dil hai bekal bekal

roop hai tera chanda chanda
tan hai tera makhmal makhmal

makhmal jaisa tan ye tera
mehke jaise sandal sandal

hirni jaisi aankh teri
hont gulabi komal komal

ghungru jaisa lehja tera
batein teri sheetal sheetal

hansti ho jab jane tamanna
bajti jaise payal payal

dekh ke teri zulfe ambar
ghir aaye hain badal badal

hay ' qamar ' ab deewane bhi
kehte mujhko pagal pagal.

mohammad siddiq 'qamar'

Monday, February 23, 2009

teri aabru ki khatir ashkon ko pi raha hoon

teri aabru ki khatir ashkon ko pi raha hoon
ji ji ke mar raha hoon mar mar ke ji raha hoon

tu na mil sakega mujhko ye mein janta hoon lekin
teri yaad ke sahare beaas ji raha hoon

tere bin ye meri hasti ek jaam hai zahar ka
yahi jaam mere humdum din-raat pi hara hoon

masumiyat ka teri kahin raaz khul na jaye
sanson ki door se mein honton ko si raha hoon

mein to hoon nazar mein teri , hai 'ashq' naam mera
tere vaste mein lekin ek ajnabi raha hoon

usman 'ashq'

ekta ke phool mehkein es chaman ke vaste

ekta ke phool mehkein es chaman ke vaste
hum luta dein jaan bhi apni vatan ke vaste

sabhyata humse hamare desh ki kehti hai ye
reh na jaye lash lavaris kafan ke vaste

koi ab bhoonka na soye apne hindustan mein
roti aur kapda mile muflis ko tan ke vaste

har taraf bas pyar ka gunje madhur sangit hi
aman aur vishvas ho har ek jan ke vaste

dekhkar 'sharib' hamein taklif hoti hai bahut
beichte hein log ab eman dhan ke vaste

abdul jabbar ' sharib '

muflis - garib

Sunday, February 22, 2009

kabhi marta hoon

kabhi marta hoon kabhi jeeta hoon sahib
khuda ka shukr hai zinda hoon sahib

usi ke haanth mein dori hamari
nachae jis tarha nachta hoon sahib

samandar tak mein hai yun to rasae
haqiqat jaan na paya hoon sahib

nahin ek pal kisi ke dastaras mein
jo sach hai vo bayan karta hoon sahib

saraefani se jana hai ek din
mein fiqre aaqvat rakhta hoon sahib

falaq shamso-qamar dariya-o-sehra
eta-at mein laga pata hoon sahib

gadagar mein bhi hoon phailaun jhooli
dare-agyaar se bachta hoon sahib

huae hai zindgi mein tajube bhi
jab chehra padha karta hoon sahib

mukammal to koi insan nahin hai
kami har ek mein pata hoon sahib

nahin karta kabhi sahil ko vapas
sakat jitni hai vo deta hoon sahib

'mubeen' larza hoon khofe khuda se
kisi sheh se nahin darta hoon sahib

mubeen 'konchvi'

rasae - pahunch
dastaras - haanth mein - control mein
saraefani - aaesthae duniya
aaqvat - dusri duniya
falaq - aasman
shamso qamar - chand suraj
dariya-o-sehra - nadi aur registan
eta-at - bandgi
gadagar - mangnewala
dare-agyaar - darwaze ka dushman
sahil - mangnewala
sakat - taqat
larza - kanpta

mehfil mein bulaya hai bade inkram se mujhko

mehfil mein bulaya hai bade ikram se mujhko
phir usne nawaza bade ilzam se mujhko

aadat se hai majboor udu vo bhi kare kya
takleef pahunchti nahi dushnam se mujhko

khilat ki tamanna na shohrat se sarokar
logon ne nawaza par inaam se mujhko

kis muh se miyan karte ho tum mujhse shikayat
kya tumne nawaza hai paigam se mujhko

hai uska karam khoob nawaza mujhe usne
do june ki mil jati hai aaram se mujhko

meidane amal main hoon mein adna sa sipahi
din raat sarokar hai es kam se mujhko

qanoon ke rakhwale hi qanoon shikan hain
phir kaun bacha payega ilzam se mujhko

har daur mein firaun rahe hain aur raheinge
karte hain khabardar jo anjam se mujhko

nakarda gunahoon ki saza yoon bhi mile hai
hai saabka jo gardishe aalam se mujhko

phoolon ki koi khushbu yahan laya churakar
aati hai mehak mujko daro-baam se mujhko

hai naam 'mubeen' aur takhllus bhi yahi hai
aur loog pukare hai esi naam se mujhko

mubeen 'konchvi'

ikram - izzat
udu - dushman
dushnam - dushman
khilat - degree - sanad
adna - chota
qanoon shikan - qanoon todnewale
nakarda - jo nahin kiya
saabka - vasta
gardishe aalam - musibatein
dar - darwaza
baam - balcony - chajja

Wednesday, February 11, 2009

ab ujale andheron se darne lage

ab ujale andheron se darne lage
dekhkar door se hi guzarne lage

waqt ki karvatein to zara dekhiye
hans bagulon ke ghar pani bharne lage

gayein bechari marne lagein bhonk se
aadmi ghas ko jab se charne lage

zulm ki bastiyan bas rahin raat-din
pyar ke gaon din-din ujadne lage

hasraton ke gale phansiyon par chade
dil ke arman bemaut marne lage

ab to mausam bhi hanton mein pathar liye
paglon ki tarha chot karne lage

jin parindon ko pala bade pyar se
log unke hi pankhe katarne lage

ghav bharne 'shiva' jab dava na mili
aur karte bhi kya aah bharne lage

Dr. shivaji chauhan ' shiva '

Tuesday, February 10, 2009

yadon ko guldan bana kar rakkha hai

yadon ko guldan bana kar rakkha hai
tujhko apni jaan banakar rakkha hai

aakhir kutiya kiska rasta dekhe hai
choukhat par jo deep jalakar rakkha hai

jane kyun vo dekh ke itna ghabraya
aaena jab samne lakar rakkha hai

koshish hai ek roz haqiqat ban jaye
palkon par jo khwab sajakar rakkha hai

logon ka bartav dekhkar meine bhi
apni ek me'aar banakar rakkha hai

abdul jabbar ' sharib '

Monday, February 9, 2009

haq bayani se dar gaye jo log

haq bayani se dar gaye jo log
zinda rehkar bhi mar gaye vo log

sach ki khatir jo jaan dete thee
ab na jane kidhar gaye vo log

aayena unko ab nahin dena
apne chehre se dar gaye jo log

gair ki thokron mein rehte hein
reza reza bikhar gaye jo log

jinne dar ko khuda ke choda hai
ho gaye aaj darbadar vo log

unko manzil nahin mili 'rehbar'
apne saye se dar gaye jo log

salim uddin 'rehbar'

Sunday, February 8, 2009

sham se yaad satati hai to pe leta hoon

sham se yaad satati hai to pe leta hoon
zindgi aas bandhati hai to ji leta hoon
aarzoo pyar ki marne nahin deti mujhko
dil ke zakhmoon ko 'mazhar' khud hi si leta hoon

mazhar ali 'qasmi'

suhani raat aur ye chandni achchi nahin lagti

suhani raat aur ye chandni achchi nahin lagti
tumhare bin to ab ye zindgi achchi nahin lagti

tumhari hi nazar ne zindgi ko tazgi di hai
na phero ab nazar begangi achchi nahin lagti

zara aakar to dekho har taraf jashne baharan hai
baharon se bhi ye narazgi achchi nahin lalgti

abhi khil jayeingi kaliyan zara tum muskurao to
tumhare rukh pe ye afsurdgi achchi nahin lagti

hamari hi tarha vo heer ranjha bhi to bebas thee
ye bandhan tod doo ab bebasi achchi nahin lagti

satae jo rulae aur hamesha dil dukhae hai
'qamar' humko to usse dosti achchi nahin lagti

Haji Mohammad Siddiq 'qamar'

Wednesday, February 4, 2009

dard ki sham dhalne lagi

dard ki sham dhalne lagi

zindgi muskurane lagi


neend ankhoon se rukhsat hue

yaad teri satane lagi


teri tasveer ab raat bhar

mere khwaboon mein aane lagi


raas tareekiyan aa gaeen

roshni dil jalane lagi


eshq tanhae se ho gaya

raas tanhae aane lagi


kufr se duriyan ho gaeen

bandagi raas aane lagi


'ashq' ki gungunae gazal

uske honton pe aane lagi


umar ashq jhansvi

pyar mein tere dhokha khaya hai

pyar mein tere dhokha khaya hai

tu magar dil pe ab bhi chaya hai

vo jo aaye to yuun laga humko

chand aangan mein jaise aaya hai

meharban es qadar hai vo mujhpar

jo bhi manga hai usse paya hai

ranj, alam, dard aur gham dekar

barha usne aazmaya hai

dil dukha ke 'mazhar' ka ae humdam

raat bhar vo bhi so na paya hai

Mazhar ali 'kasmi'

Sunday, February 1, 2009

jana padega chod ke ek roz ghar mujhe

jana padega chod ke ek roz ghar mujhe

lagne laga hai apne hi bhai se dar mujhe

jisko bada gurur tha apni udan par

bikhre mile zamin pe uske hi par mujhe

bujh jaye na kahin meri ummid ka diya

lagne laga hai sarfiri andhi se dar mujhe

bhukhi rahi magar kabhi bechi na aabru

aisa mila hai basti main bewa ka ghar mujhe

ghutne laga hai dam mera mehlon main doston

achcha laga hai gaon main mitti ka ghar mujhe

'kaifi' main ek hira hoon patthar nahin hoon mein

pehchante nahin hain abhi kam nazar mujhe

farooq kaifi 'jhansvi'