Friday, June 26, 2009

ghazal

dekhie ek zindgi ke vaste
gham hein kitne aadmi ke vaste

hein bahut hi kam veh insan aajkal
jaan de dein jo kisi ke vaste

dil kisi ka bhi na todo dosto
apni ek adna khushi ke vaste

tanz karte hein vahi ab dekhie
hum mite jinki khushi ke vaste

dusron ka aib jab aaye nazar
aaena samjho usi ke vaste

maut ka chakhna hai sab ko zaeka
maut barhaq hai sabhi ke vaste

kar guzarte hein na kya kya hum "uruj"
char din ki zindgi ke vaste

uruj "jhansvi"

adna - choti, kam rutbe vali
tanz - chita kashi
zayeka - swad
barhaq - ati aavashyak

Wednesday, June 24, 2009

ghazal

jab sanwar ke ghazal nikalti hai
aarzu apni hanth malti hai

jab koi hota hai tasvvar mein
zindgi karvatein badalti hai

chalta rehta hai karvane hayat
subh hoti hai sham hoti hai

khun patangon ka hota hai nahak
shamma jab bhi kahin pe jalti hai

pichli va nau jawani va piri
zindgi kitni ghar badalti hai

jab sitam dhata hai koi apna
dil pe talvar gham ki chalti hai

aatishe fiqr se guzarta hai
sher ki tab kiran nikalti hai

unki furqat mein muddaton se meri
chashm gham ke lahu ugalti hai

yaad uus shaukh naazmin ki "gulam"
sehne dil mein sada tehalti hai

gulam rasool ansari

piri - budhapa
furqat - judai

Thursday, June 18, 2009

ghazal

vo ruthe hue hein koi baat hogi
mana lenge jab bhi mulaqat hogi

yeh banthan ke unka sare baam aana
hamare liye phir koi ghat hogi

kahan tak diya sath de roshni ka
dilon ko jalalo badi raat hogi

yeh ummid pyason ko zinda rakhe hai
ki agle baras khub barsat hogi

"jamil" unse milne ki taeyariyan kar
suna hai ki unse mulaqat hogi

haji jamilurrehman

ghazal

lash mein vazan kya raha hoga
bhoonk se jab koi mara hoga

jis ka jiwan sachchae pe guzra
maut se phir vo kya dara hoga

nafratein chodiye gale milye
es se duniya ka kuch bhala hoga

zindgi kya hai chand sansen hein
ruk gae hongi mar gaya hoga

hal duniya bahut bura hai "jamil"
aage bhagwan jane kya hoga

haji jamilurrehman

Tuesday, June 16, 2009

ghazal

hindu ho ke muslim ho uuse ab ye jata do
nafrat ki siyasat ko na tum aur hawa do

hum ke the hum ek hein aur ek raheinge
hum aman ke hamin hein ye duniya ko dikha do

chehra hai mahetab to zulfein hein ghataein
badli mein chupa chand zara hum ko dikha do

ho jayeinge phir duur ujalon se andhere
tum shamma mohabbat ki har ek dil mein jala do

hoti hai kabhi dard mein kehne se bhi "latif"
jo dil mein chupa dard hai apnon ko suna do

abdul latif

ghazal

tera mehfil mein charcha kyun karein hum
mohabbat apni ruswa kyun karein hum

dilon ka hal tu sab janta hai
to phir bandon se parda kyun karein hum

hazaron naimatein bakhshi hein tu ne
teri rehmat ka shiqwa kyun karein hum

badal jata hai jab qismat ka likkha
sitaron par bharosa kyun karein hum

"latif" un se agar milna nahin hai
to milne ka bahana kyun karein hum

abdul latif

ghazal

unki ankhoon mein kuch nami hai abhi
dil mein koi khalish chupi hai abhi

qafile manzilon se bhatke hein
ebne aadam mein gumrahi hai abhi

kyun dilon mein hein duriyan apne
shayad ekhlas mein kami hai abhi

aadmi aadmi ka dushman hai
aur parindon mein dosti hai abhi

sara gulshan dhuan dhuan hai "latif"
barq shayad kahin giri hai abhi

abdul latif

ghazal

aaj vo insan bata do jiske dil mein gham nahin
kaun sa gul hai ki jis par qatrae shabnam nahin

baat ke hum hein dhani kehte hein jo karte bhi hein
dhamkiyon se jo dare veh aur honge hum nahin

rahe haq pe chal ke ye "farooq" haq kariye ada
haq ye jaan dena shahadat se kahin bhi kam nahin

mohammad farooq

ghazal

gham hi milte hein hum jidhar jayein
koi samjhae to kidhar jayein

ab to bas ek hi tamnna hai
khak ho kar kahin bikhar jayein

dekho ! tufan na ab udhar jayein
aashyane na phir bikhar jayein

har amal apna haq shanas rahe
ab bhi "farooq" hum sudhar jayein

mohammad farooq

ghazal

tumne jo dard diya mujhko
koi lagti nahin dawa mujhko

sochta hoon ki aur kya mangun
tu ne sab kuch to diya mujhko

ek jhalak hi to sirf dekhi thi
usne bekhud bana diya mujhko

uska mujh par karam hai ye "farooq"
aur ab chahiye bhi kya mujhko

mohammad farooq

Sunday, June 14, 2009

ghazal

kitne nazo ada se pallti hai
sas ke hanton phir veh jalti hai

maut aaye jahez khoron ko
bas yahi baddua nikalti hai

lamha lamha hi umar dhalti hai
mom ki tarha yeh pighalti hai

gunchao-gul hi bas nahin deti
yeh zamin aag bhi ugalti hai

abdul hanif "mahir"

ghazal

rahega aapka husno shabab bhi kab tak
khila rahega chaman mein gulab bhi kab tak

nigahe shauq ko didare husn bhi hoga
rahega chehre pe unke naqab bhi kab tak

utho ye dekho ki sara zaman jaag utha
pade hue yun hi dekhoge khawab bhi kab tak

jo elm sikha hai uus par karo amal "mahir"
rakhoge hanthon mein apne kitab bhi kab tak

abdul hanif "mahir"

ghazal

kabhi gulshan mein apne kash aisi bhi bahar aaye
gulon ke sath hi gulshan ke kanton pe nikhar aaye

hum apne dil ka nazaran liye jab tere dwar aaye
tasvvar mein hamare tere paikar beshumar aaye

laga aisa ki jaise chand dharti pe utar aaya
mere khwabon ki shehzadi ko lekar jab kahar aaye

watan ki aan pe dhabba nahin aane diya humne
hum apni sarhadon se jab bhi laute bawaqar aaye

abdul hanif "mahir"

Saturday, June 13, 2009

ghazal

jab tassvvur mein koi aata hai
mujtarib dil sukun pata hai

dil ko zero zabar banata hai
jab vo rukh se naqab uthata hai

dost bankar jo dil mein aata hai
bas vahi gul naye khilata hai

jo ajal ko gale lagata hai
usse qatil bhi thartharata hai

ashq pikar jo muskurata hai
ek din vo sukun pata hai

shar pasandon ka sar jhukata hai
waqt jab aaiena dikhata hai

ab to kehne ki sab ye hein baatein
kaun ehde wafa nibhata hai

uski hoti nahin duaa maqbool
jo buzurgon ke dil dukhata hai

bakhshta hai khuda "uruj" usko
jo rahe haq mein sar katata hai


uruj "jhansvi"

tassavvur - kalpna
mujtarib - baichain
sukun - chain
ajal - maut
shar pasand - burae rakhne vala
zaro zabar - uthal puthal
ahdewafa - dosti ka kaul
maqbool - puri
rahe haq - sach ka rasta