Tuesday, November 10, 2009

ghazal

dard ki sham jane lagi
zindgi muskurane lagi

gham ke badal bhi chatne lage
zindgi raas aane lagi

vo jo surat tassavvar mein thi
mere khwaboon mein aane lagi

raas aaye andhere mujhe
roshni dil jalane lagi

ishq tanhae se ho gaya
anjuman dil jalane lagi

kufr se duriyan ho gaein
bandgi raas aane lagi

'ashq' ne jo padhi thi ghazal
unke hontho pe aane lagi

umar ashq jhansi

Tuesday, November 3, 2009

ghazal

bin tumhare basar kiya humne
yun bhi tanha safar kiya humne

tumne jiti hai saltanat lekin
dil mein logon ke ghar kiya humne

aaj ke daur mein wafa karke
apne daman ko tar kiya humne

wajah uspe yaqin ki mat puncho
na tha karna magar kiya humne

vo uthate hein ungliyan hum par
jinmein paida hunar kiya humne

unki yadon ke jaam pi pi ke
dard ko beasar kiya humne

jaanta hoon ki bewafa hai vo
sath phir phi guzar kiya humne

jab bhi duniya pe aitbar kiya
khud ko hi dar-badar kiya humne

dosti mein mita ke khud ko 'soz'
dosti ko amar kiya humne

ram prakash goyal 'soz'

ghazal

meri tarh tum bhi rote ho
jab tahae mein hote ho

neend tumhein aayegi kaise
mujhse bichad ke kyon sote ho

pyar karoge pyar milega
katoge woh jo bote ho

kaise samjhega yeh koe
tum mere sab kuch hote ho

tumne kaha tha ab na mileinge
mere liye phir kyon rote ho

khushbu ka jhonka aata hai
paas kahin jab tum hote ho

pyar bahut mushkil se milta
aisi daulat kyon khote ho

'soz' ko hosh kahan rehta hai
samne uske jab hote ho

ram prakash goyal 'soz'