Sunday, March 20, 2011

tujhe maine kabhi dekha nahin tha

tujhe maine kabhi dekha nahin tha
tu har shai mein hai socha nahin tha

jahan main dhundhta phirta raha main
tu mere dil mein hi tha samjha nahin tha

jab aaya hosh mujhko ya elahi
nazar ke samne jalva nahin tha

tasvvur mein tujhe dekha tha meine
haqiqat hai koi sapna nahin tha

ajab si bekhudi 'ramman' pe chae
tera jalva abhi dekha nahin tha


raman lal agrawal 'ramman'
mobile. 9335911832


tasvvur-khayal

zarre zarre ko sajaya hai karam se apne

humne likkha hai mohabbat ka tarana yarab
is ko maqbool zamane mein banana yarab

zarre zarre ko sajaya hai karam se apne
teri rehmat ka mila sab ko khazana yarab

mujhko insan banakar jo sharaf bakhsha hai
qadr karta hai meri sara zamana yarab

khidmate khalq ka arman hai dil mein mere
mere sapno ko sahi raah dikhana yarab

tera 'ramman' zamane ki nazar mein aisa
jaise duniya ki nigahon mein diwana yarab

raman lal agrawal 'ramman'
Mob. 9335911832