Sunday, August 17, 2014

Chain pa hi jayeinge

chain pa hi jayeinge ab iztirab- dil se hum
justjue yar mein kuch dur hein manzil se hum
karna chaha tha safar apna akeley hi "jamil "
sath un ke ho liye majboor ho kar dil se hum

jameel Jhansvi

Saturday, August 16, 2014

hum ko ahde wafa nibhana hai

hum ko ahde wafa nibhana hai
zakham khana hai muskurana hai

ishq mehdood husn la-mehdood
hum ne hasti mita ke jana hai

zindgi jahan chehakti thi
ab wahan par yatimkhana hai

qatl kar ke bhi wo yeh kehte hain
qatl ka jashan bhi manana hai

koe daman bhi nam nahin dekha
kitna bedard ye zamana hai

kashtiyan apni phir jala dalo
behre zulmat gar mitana hai

hai akhwwat "jamil" ki fitrat
husn ikhlaq mein yaganah  hai


Jamil Jhansvi

Koi to

koi to aakhir batae mujhko meri mohabbat mein kya nahin hai
wo ghair par merharbaan kyon hain meri wafa kya wafa nahinhai
kabhi karam ki nigah kar den kabhi mohabbat se kam le lein
utha bhi den apne rukh se parda yeh dil abhi tak bhara nahin hai

Jamil Jhansvi