Thursday, February 19, 2015

aapas mein hamari jo adavat nahin hoti

aapas mein hamari jo adavat nahin hoti
yun ghair ko takrane ki himmat nahin hoti

koshish bhi karein lakh hifazat ki to bekar
shishe ke makanon ki hifazat nahin hoti

mil jate agar ped to le lete basera
masoom paridon ko shikayat nahin hoti


gurbat ke shikanjon mein agar mulk na hota
jismon ki sare sham tijarat nahin hoti

gar aaj masavat ke gul sab pe baraste
insan ko insan se adavat nahin hoti

'Iqbal' tujhe apna pata yad jo rehta
duniyan mein bhatakne ki zarurat nahin hoti

'IQBAL BANNE JHANSVI'

bhunkh se log tadapte hue mar jate hain

bhunkh se log tadapte hue mar jate hain
aur hum dekhte rehte hain guzar jate hain

unka paikar hai hasen aur hain qatil nazrein
qatal hote hain udhar log magar jate hain

aadmi sochta aaya hai azal se to yahi
jo chale jate hain vo log kidhar jate hain

yaad karta hai zamana bhi unhin logon ko
kaam insan ki bhalae ke jo kar jate hain

zulf shanon pe nazar shokh gulabi chehra
unpe padte hi nazar log thahar jate hain

sach se jab samna hota hai burae ka 'latif'
hosh ud jate hain aur chehre utar jate hain

ABDUL LATIF 'LATIF'

tere gham raas aaye hain

tere gham raas aaye hain, khushi achchi nahin lagti
bichad kar tujh se ab ye zindgi achchi nahin lagti

jise apna banate hain, wahi ek zakhm deta hai
hamein ab doston ki dosti achchi nahin lagti

bujhado en chiragon ko andhere raas aaye hain
mujhe kamre mein apne roshni achchi nahin lagti

bada majboor karke rakh diya hai tangdasti ne
mujhe pardes mein teri kami achchi nahin lagti

hatado samne se aur esko maardo thokar
mujhe tasvir bhi ab aap ki achchi nahin lagti

badal dala hai kitna ye 'niyaz' daure tarqqi ne
nasihat bhi hamein maa baap ki achchi nahin lagti

NIYAZ MAHOBVI