Tuesday, March 31, 2015

jis hasin surat ko hum ek chand ka tukda kahein

jis hasin surat ko hum ek chand ka tukda kahein
ye jahan wale usi ka humko dewana kahein

tu hi mehromah mein phoolon mein tu zarron mein tu
kyun na har shai mein khuda hum tera hi jalwa kahein

thak gaein sun-sun ke vo bhi apne gham ki dastan
ghar ki diwaron se tanhaee mein hum kya kya kahein

sun ke chalta nahin rahe sadaqat doston
kyun na aise shaks ko behra kahein andha kahein

bunte bunte jaal makdi phas gae  khud jaal mein
uski es danishwari ko log aakhir kya kahein

aaena insan ki achchae kya batlaegein
hai wahi achcha ki jisko log sab achcha kahein

log rahat ki jagah duniya ko kehtein hain magar
phalsafi 'Iqbal' duniya ko faqat dhoka kahein

Iqbal banne 'Jhansvi' 

Sunday, March 29, 2015

kuch to keh teri badli hue fitrat kyon hai

kuch to keh teri badli hue fitrat kyon hai
kya hua tujh ko teri aisi fazihat kyon hai
itna behshi tu nahin tha kabhi isse pehle
ho ke insan ye haiwan si sirat kyon hai

ye hawas kaise tere dil mein utar aae hai
ye jo aurat hai teri beti hai, behan hai mae hai
pak rishton ko bhi zalim nahin baksha tune
behayae tujhe kis mod pe le aae hai

dekh ye waqt ka dhara hai badal jayega 
ye tera josh junu lamhon mein dhal jayega
ab na sambhla to kahin maut na le jaye tujhe
ye tera zulm tujhe khud hi nigal jayega

ab kisi aur bharose ka bharosa na karo
bekhatar ho kisi anjam ki parvah na karo
hoshmandane watan se yahi kehta hai 'Jamil'
jab bhi ho aisa tamasha khade dekha na karo

Jamilurrehman ' Jamil' Jhansvi 

Monday, March 23, 2015

jis pe tera karam hua hi nahin

jis pe tera karam hua hi nahin
naqshe manzil usee mila hi nahin

zist mein jisko gham mila hi nahin
dardo gham se vo aashna hi nahin

aisa dhaya sitam sunami ne
sirf lashon ke kuch bacha hi nahin

kaise payega manzile maqsood
jismein jeene ka housla hi nahin

kaul ye to 'Aziz' barhaq hai
aayena jhuth bolta hi nahin


Abdul Aziz Khan 'Aziz'

Sunday, March 22, 2015

jis haseen surat ko hum ek chand ka tukda kahein

jis haseen surat ko hum ek chand ka tukda kahein
ye jahan vale usi ka humko deewana kahein

tu hi mehro maah mein phoolon mein tu zarron mein tu
kyun na har shai mein khuda tera hi jalwa kahein

thak gayein sun-sun ke vo bhi apne gham ki dastan
ghar ki deewaron se tanhae mein hum kya-kya kahein

sun ke jo chalta nahin rahe sadaqat dosto
kyun na aise shaks ko behra kahein andha kahein

bunte-bunte jaal makdi phas gae khud jaal mein
unki es danishvari ko log aakhir kya kahein

aaene insan ki achae kya batleinge
hai vahi achcha ki jisko log sab achcha kahein

log rahat ki jagah duniya ko kehte hain magar
phalsafi 'Iqbal' duniya ko faqat dhoka kahein

Iqbal Banne ' Jhansvi '

Thursday, March 19, 2015

ghardishe dauran ne mere dil ko murda kar diya
chin li khushiyan jhapat kar aur tanha kar diya

mehbe hairat hai zamana kam aisa kar diya
koshishon ne aapki uncha tiranga kar diya

azme mohkam ki kiran se pa hi lenge roshni
chandi raaton ne ghar phir se andhera kar diya

main tiri shane karimi ka bayan kaise karun
tune adna shaks ko pal bhar mein aala kar diya

badchalan logon ko ghar mein hi na aane dijiye
ye buzurgon ne kitabon mein khulasa kar diya

uski tasviron se batein kar liya karte hain hum
kanch ki gudia ne aangan jab se suna kar diya

dagmagaya tha masaeb se mira eman magar
sabre sabir ne usee 'Iqbal' pukhta kar diya

Iqbal Banne Jhansvi 

Wednesday, March 18, 2015

abhi se sehne gulistan pe dil nisar na kar

abhi se sehne gulistan pe dil nisar na kar  
farebkar nazron ka aitbar na kar 

bajuz khizan nahin kuch bhi hamari qismat mein
hamare samne ab zikre nau bahar na kar

abhi to aur bhi kante hain rahe ulfat mein
abhi se paun ke chale ka kuch shumar na kar

ye basti hazrate naseh ki ha aree saqi
yahan pe shishao sagar ka karobar na kar

ye iltija hai miri tujhse aye mire malik
ki zalimon ke sitam ka mujhe shikar na kar

jahan mein roshni 'Iqbal' hai mohabbat se
ise kuch aur badha iska ikhtisar na kar

Iqbal Banne Jhansvi

nigahon se vo kuch kahe ja rahe hain

nigahon se vo kuch kahe ja rahe hain
hum unki ada par mite ja rahe hain

taghaful ki aisi hawa chal rahi hai
charaghe muhabbat bujhe ja rahe hain

hamari nazar se jo chupte rahoge
to phir bazam se hum uthe ja rahe hain

ilahi yahan kya koi maiqada hai
hamare qadam kyun ruke ja rahe hain

junun ki hadon se bhi aage nikalkar
na jane kidhar hum badhe ja rahe hain

parinde to khud hi asire sitam hain
naye jaal phir kyon bune ja rahe hain

asiron ki rudad 'Iqbal' sunkar
nasheman ke tinke jale ja rahe hain

Iqbal Banne Jhansvi