kehta hoon main apne dil se, etna uus se pyar na kar
jisse kehte kehte hara pyar main bhi vyapay na kar
khud soti hai geele main humko nahin jagati hai
mamta ki khatir sehti hai, us maa ka triskar na kar
bhed bhav ki aag lagake mana roti sik jayegi
tere hanth bhi jal jayenge, phoolon ko angar na kar
tum gate ho geet khushi ke, hum beithai hai hosh gava
phir hum hai harjae, juntha ye ilzam na dhar
hum dete paigham pyar ka, pyar hi humne sikha hai
mazhar kehdo manlain wo, es baat se to inkar na kar
mazhar ali "kasmi"
No comments:
Post a Comment