jana padega chod ke ek roz ghar mujhe
lagne laga hai apne hi bhai se dar mujhe
jisko bada gurur tha apni udan par
bikhre mile zamin pe uske hi par mujhe
bujh jaye na kahin meri ummid ka diya
lagne laga hai sarfiri andhi se dar mujhe
bhukhi rahi magar kabhi bechi na aabru
aisa mila hai basti main bewa ka ghar mujhe
ghutne laga hai dam mera mehlon main doston
achcha laga hai gaon main mitti ka ghar mujhe
'kaifi' main ek hira hoon patthar nahin hoon mein
pehchante nahin hain abhi kam nazar mujhe
farooq kaifi 'jhansvi'
No comments:
Post a Comment