aise diye hain daag ke hum dho nahin sakte
hasna to darkinar hai ab ro nahin sakte
gar baghvan hi bagh ko sinchega es tarha
phoolon ki podh phir kabhi hum bo nahin sakte
chahat main kisi shaks ne luta hai es tarha
needein huein haram ab hum so nahin sakte
sharmindgi se unki ab kya phayda hamein
unke hain jo gunah vo kam ho nahin sakte
na yaad karke unko yun aansu baha ye dil
ye jan le ki apne ab vo ho nahin sakte
Shriram arroa "shad"
Saturday, October 4, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment