milye sabhi se, sabko na apna banaeye
apno ki parakh ke liye dushman bhi chahiye
hai ekta jo dekhni to maiqade main chal
kehta hai birhaman se sheikh maey pilaeye
duniya to har ek baat pe tanqeed karegi
phir uus ada se aap zara muskuraieye
hote hai dav-pench bhi kuch rahe ishq main
vo man jayein gar kabhi, khud ruth jaeye
kuch ajnabi se ban gaye hain es shahar ke log
ji chahta hai “shad” kahin bhag jaeye
shriram arora “shad”
Wednesday, October 1, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment