hazaron hadse hum par rahe hain meherban barson
liya hai har qadam par zindgi ne imtihan barson
ghamon se hum na ghabrae na choda sabr ka daman
udae thi gharibi ne hamari dhajjiyan barson
khuda ka shukra hai hum jaag ut-the khwabe-ghaflat se
badi se rehguzar par nekiyan ki raigan barson
badan uska nazar aaya barehna aaj sadkon par
padosi dekh na paye thi jiski ungliyan barson
bhala ye dhop mehrumi ki usko kya jalayegi
raha hai muflisi ka jis ke sar par saeban barson
gazal bankar tasv-var main mere vo aaye thee "bismil"
mehakta hi raha uus din se ye dil ka makan barson
salamat ullah khan "bismil"
Thursday, October 16, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment