Friday, April 3, 2009

kam kuch aise kiye

kam kuch aise kiye barbadiyon mein aa gaye
hukmuraan jo thee vo ab faryadiyon mein aa gaye

shokhiyon masti jamalo-naaz, joban ki bahar
sab simat kar aapki angdaeyon mein aa gaye

hum ye samjhe thee milega dil ko ab sabro qarar
unse milke aur bhi kathinaeyon mein aa gaye

shar-pasndon ne sharifon ko bhi jab choda nahin
vo sharafat chodke balvaeyon mein aa gaye

jo sabaq dete thee talib-elm ko akhlaq ka
vo ta-ajjub hia 'qamar' rusvaeyon mein aa gaye

mohammad siddiq 'qamar'

jamalo-naaz - kubsurti - nakhra
talib-elm - chatra

jidhar bhi dekho fasado-shar hai

jidhar bhi dekho fasado-shar hai kahin bhi amno-amaa nahin hai
karodon janta hai bhonkhi pyasi mayassar unko makan nahin hai

ye kaise kaise sunhaire sapne dekha rahe ho yugon se hamko
kisano mehnat-kashon ko dekho koi bhi to shama nahin hai

ye nanhe bachche jo sukhe tukde talashte hain gali-gali mein
na baap enka, na maa hai enki koi bhi ab meherban nahin hai

na koi sathi na koi mohsin na koi monis na koi hamdam
jidhar bhi dekho hai jaake dushman koi bhi to meherban nahin hai

habib mere, raqib mere na jane kyon badguman hain mujhse
bala se ho jaye badguma sab, hai shukr vo badguma nahin hai

"qamar" se nala hai gunchao gul, hai bagvan bhi khafa-khafa sa
hai tang uus par zamin uus par, ye shukr ke aasma nahin hai

haji mohammad siddiq "qamar"
shadma-khush
mohsin-meherban
monis-sathi
raqib-dushman
badguman-naraz

apne anjam se bekhoufe khatar beitha hai

apne anjam se bekhoufe khatar beitha hai
kaam usko jo nahin karne thee kar beitha hai

uske honto pe mere pyar ki surkhi hai magar
uski aankhon mein kisi aur ka dar beitha hai

aandhiyon se nahin ladne ka saliqa usko
kuch khurafat vo tufan se kar beitha hai

har parinda nae mausam ke aazabon se yahan
sehma sehma sa mameite hue par beitha hai

kya kahoon rone se dil par mere kya kuch guzri
nami buniyad mein aae to ye ghar beitha hai

usko peena hi pada zahar pashemani ka
apne janu pe vo rakhkhe hue sar beitha hai

har qadam hai yahan ayebon ki numaesh 'nazim'
kis liye shahar mein tu leke hunar beitha hai

aalif nazim 'bisalpuri'