Tuesday, January 27, 2015

Ghazal

hale dil kya puchte ho mujh ko thukrane ke baad
kya mehak sakta hai hoi phool murjhane ke baad

phir hawa hai tez yarab aashyan ki khair ho
phir na aisa ban sa sake shayad bikhar jane ke baad

mere armano ki kashti bhi unhin mein thi sharik
kahtiyan doobin thin jo sahil se takrane ke baad

vo nishan zakhmon se bhi zyada kasak deine lage
jo nishan baqi hain dil mein zakhm bhar jane ke baad

jane kyon rota raha vo kya nazar aaya uuse
aaena dekha jab usne mujh ko dikhlane ke baad

jo nahin paya hai 'salik' uus ka koi gham nahin
gham to bas uus ka hai khoya hai jise pane ke baad

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'

Monday, January 26, 2015

Ghazal

kisi ki rah ka patthar jo tu hata dega
tere safar ko bhi aasan khuda bana dega

use pata hai ke beeta hai bachpana kaise
ye khushk ped kahani meri suna dega

kabhi vo apna mukaddar jaga nahin sakta
sunhere khwab-o-khyalon mein jo sula dega

karega baat vo phir bastiyan basane ki
magar vo pehle kai bastiyan mita dega

bamon ka zor dikha ke ab aisa lagta hai
jahan mein amn ki vo dhajjiyan uda dega

anaa paraston ko 'salik' nahin hai kya maloom
anaa ka dew unhein khak mein mila dega

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'

Ghazal

hadson ka ek safar hai zindgi
hadson se bekhabar hai zindgi

khak mein aabo hawa mein aag mein
jis taraf dekho udhar hai zindgi

log kyon nameherban hone lage
meharban mujh par agar hai zindgi

har qadam par hai naya koi sawal
imtahan ki rehguzar hai zindgi

rukh badlti aae hai har daur mein
aaj phir ek mod par hai zindgi

aisa lagta hai kabhi 'salik' mujhe
khwahishon ka ek ghar hai zindgi

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'

Sunday, January 25, 2015

Ghazal

jo khud ko devta samjhe hue hai
vo kya hai aur kya samjhe hue hai

hamein maloom hai kya hai vo jisko
zamana parsa samjhe hue hai

koi samjhae es duniya talab ko
qaza ko kyon baqa samjhe hue hai

jo takrata hai apni mushkilon se
vo jine ki aada samjhe hue hai

alag jo chal raha hai karvan se
vo khud ko rehnuma samjhe hue hai

mein jugnu hun ye samjha do hawa ko
hawa mujh ko diya samjhe hue hai

jise aata nahin 'salik' parakhna
vo kothe ko ghar samjhe hue hai

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'


Saturday, January 24, 2015

Ghazal

Jisko kisi ke dard ka ehsas gar nahin
haiwan hai vo shaks to koi bashar nahin

meri nazar mein housla jinka junoon hai
un ke liye to koi kathin rahguzar nahin

magrib se behae ki aae hai jo hawa
mehfuz es hawa se kisi ka bhi ghar nahin

puri na hogi ye mire mitne ki dastan
us dastan mein naam tumhara bhi gar nahin

zakhmi hai wo hi shakh shajar phali hai jo
patthar ka ghav aur kisi shakh par nahin

hum to gunahgar hain lekin janabe sheikh
kyun aap ki dua mein bhi koi asar nahin

'salik' mein janta hun jahan mein bada hai kaun
jo sab ke samne jhuke wo mera sar nahin

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'
mob. 8400825290

Ghazal

jazbae ishq ko kab tha ye gawara hona
mujh se dekha na gaya husn ka ruswa hona

sabr tuta to aankhon se bahe hain aansu
hum ne dekha hai samandar ka bhi darya hona

phir mere zakhm ko apno ne kar diya aakar 
un se dekha na gaya zakh ka achcha hona

yun na katti ye zaban kash mein jhunta hota
kya gazab dha gaya mujh par mera sachcha hona

vo siyasat ka khiladi hai use aata hai
mom hona kabhi patthar kabhi shisha hona

kis kya bona vo nazar mein sab ki
chahta tha jo har ek shaks se uncha hona

mom ka ghar hai diye kaise jalaun 'salik'
ghar paghalne ka sabab ho na ujala hona

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'
mob.8400825290

Ghazal

koi wada na koe ahde wafa yaad aaya
uus sitamgar ko na kuch apne siva yaad aaya

band jab ho gaye tauba ke sabhi darwaze
'haye kambakht ko kis waqt khuda yaad aaya

phir lagi mujh ko behak jane ke bayas thokar
phir mujhe apne buzurgon ka kaha yaad aaya

aaj ye mile ka patthar jo nazar aaya hain
vo kahan tak mere humrah chala yaad aaya

vo zamana jo tere sath guzara tha kabhi
jab kisi ne bhi tera naam kiya yaad aaya

bhool kar tujh ko mujhe apni khudi yaad rahi
khud ko bhula to mujhe tera pata yaad aaya

jab bhi gardab mein aaya hai safina 'salik'
nakhudaon ko bhi uus waqt khuda yaad aaya

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'
mob. 8400825290

Ghazal

ye sun kar abhi imtahan aur bhi hain
meri hausle ab jawan aur bhi hain

sabhi waqt ne bhar diye ye na samjho
abhi khamein dil mein jawan aur bhi hain

labon mein tabassum dilon mein kudurat
chipaye mere meharban aur bhi hain

vo kehne ko nazdik aaye hain lekin
abhi fasle darmiyan aur bhi hain

rahe haq mein thokar jahan mein ne khaee
wahin thokron ki nishan aur bhi hain

siwa aasman ke batao to 'salik'
kahin mautbar saiban aur bhi hain

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'
mob. 8400825290                                                                                                                                                          

Wednesday, January 21, 2015

Ghazal

sab yahan apne hain apna sa magar koi nahin
us jagah le chal mujhe aye dil jidhar koi nahin

makhmali rahon pe kal ek bhidh mere sath thi
aaj es tapti dagar mein humsafar koi nahin

hai yahan insan ka insan hona hi bahut
jis ko hum samjhein farishta wo bashar koi nahin

aao hum dikhlayein kitne dar badar hain shahar mein
kaun kehta hai yahan ab dar badar koi nahin

dhoond ne wale samandar ki tahon tak jayein to 
pa saka ab tak kinare par gohar koi nahin

hum pe patthar phenkne walo ko samjha de koi
ye wo basti hain jahan shishe ka ghar koi nahin

gham se mat katrao 'salik' un se takrate raho
es se achcha aur jine ka hunar koi nahin

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'
mob. 8400825090

Ghazal

kirdar salamat hai mera mein muflis aur nadar sahi
kirdar nahin to kuch bhi nahin wo lakh koi zardar sahi

phoolon ki tarh ek roz hamein murjhane ka to khof nahin
'phoolon ko mubarak ranae hum khar agar hain khar sahi

es raah pe kam se kam hum ko lut jane ka ab khof nahin
jo raah chuni hum logon ne us par chalna dushwar nahin

sach bolna peri fitrat hai sach bolunga aakhir dam tak
kat-ti hain zaban to kat jaye ek bar nahin sou bar sahi

aae hai tumhari maut agar sahil par bhi mar jaoge
kashti to utaro dariya mein toofanon ke aasar nahin

mazdoor hain hum majboor nahin mehnat ki kamae khate hain
logon ki nazar mein hum 'salik' mein khuaragar to khuar sahi


WASI MOHAMMAD KHAN ' SALIK '
mob. 8400825290 

Ghazal

karam ke tere jab ishare mile hain
tabhi kashtiyon ko kinare mile hain

samandar ki teh mein utar kar talasho
kise lalogohar kinare mile hain

wo bailein chaman mein bahut surkhru hain
darkhton ke jin ko sahare mile hain

meri band muththi mein jugnu the lekin
zamana ye samjha sitare mile hain

jo jahnka kabhi dushmano ki safon mein
kai dost in mein hamare mile hain

unhein ab mohazzab kaha ja raha hai
haya ki jo chadar utare mile hain

ghutan bebasi bekali dard 'salik'
hamein ishq mein gham ye sare mile hain

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'
mob. 8400825290

Ghazal

thokrein kha ke jab sambhalti hai
zindgi aaine mein dhalti hai

patthar us ko hi mare jate hain
shakh jo bhi zayada phalti hai

zindgi kamyab wo hai jo 
waqt ke sath sath chalti hai

aatishe gham ne kar diya patthar
ab ye murat kahan phighalti hai

pa ke sab kuch kuch aur pane ki
dil mein hasrat sada machlti hai

chain ki neend ko to zardari
raat bhar karwatein badlti hai

ghar mein sab se buzurg hon 'salik'
ab kahan meri baat chalti hai

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'
mob. 8400825290 

Ghazal

Hawa khilaf hue jab se es zamane ki
sabhi ko fiqr hai ab zindgi bachne ki

wo qaifiyat mere dil ki samajh na payega
mujhe to gham mein bhi aadat hai muskurane ki

wo ghar ke jis mein buzurgon ki  baat chalti hai
tamam shahar mein izzat hai us gharane ki

hamara sabr bhi inqalab layega
wo lakh koshishein kar lein hamein mitaneki

wo baat jis pe sabhi ke chamak utthe chehre
wahi to dard se pur thi mere fasane ki

khushi ka daur gaya gham ka bar hai sar par
kise padi hai mere sath gham uthane ki

zaban kholeinge hum apni waqt par 'salik'
har ek baat nathin har jagah batane ki

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'
mob. 8400825290

Tuesday, January 20, 2015

Ghazal

rukh pe mayusi nahin aur aankh bhi purnam nahin
dil ko patthar kar liya hai ab mujhe kuch gham nahin

koi roya hain gale mil kar gulon se rat bhar
'kon sa gul hai ke jis par qatrae shabnam nahin'

mein gira achcha hua ye raz mujh par khul gaya
jin ko mein samjha tha humdam wo mere humdam nahin

hum hamesha purkhatar rahon pe chalte aaye hain
sidhi sadi makhmali rahon ke rahi hum nahin

waqt ko marham ne kuch bhar to diye hain zakhm dil
kal jo aalam dard ka tha aaj wo aalam nahin

ye siyasat ke khiladi hein nahin maneinge haar
chal chalne mein kahin koi kisi se kam nahin

lutf kya aayega 'salik' aise jine mein bhala
zindgi ki raah mein gar koi painch-o-kham nahin

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'
mob. 8400825290

ghazal

phoolon se mohabbat to har shaks ki fitrat hai
gulshan mein magar mujhko kharon se bhi ulfat hai

meezan pe rakkha jab ulfat ko adavat ko
palla hai wahi bhari jis par meri ulfat hai

han mein han milate hai din rat jo hakim ki
ab shahar mein kuch aise logon ki hi shohrat hai

mali tere gulshan ke ye kaise muhafiz hain
kaliyon ke masalne ko kehte hain hifazat hai

jangal ke darinde to basti mein nahin aate
ye kon darinde hain jin se yahan dehshat hai

nafrat se kahin apna gulshan na ujad jaye
ae dost mohabbat ki es waqt zarurat hai

kis muh se kare 'salik' rehmat ka bayan uski
kya iski ebadat hai kya uski inayat hai

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'
mob. 8400825290

gazal

ab suna hai ke lagaeinge vo bazar yahan
aur kehte hain ke banteinge bahut pyar yahan

rahbar ban kar chale the jo unhin ke hanthon
karvan lut te hue dekha kae baar yahan

dhundne se bhi kahin hum ko mohabbat na mili
yun to har shay ka bahut garam hai bazar yahan

hale dil kis se kahun kis ko mein samjhun apna
door tak milta nahin koe bhi ghamkhuaar yahan

mein mohabbat sare bazar liye baitha hoon
lekin aata hi nahin koe talabgar yahan

ab bhi kehta hoon mein 'salik' ke badal le khud ko
punchta kon hai un ko jo hain khuddar yahan

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'

Monday, January 19, 2015

Gazal

zindgi lagta tha jaise ajnabe si ho gaee
gham se lekin jab mile to daimi si ho gaee

doston ko thik se apne samjh lene ke baad
dushmanon se aaj mujh ko dosti si ho gaee

manzilein pane ki khatir meri himmat dekh kar
ye dehakti dhoop mujh par chandni si ho gaee

bas andheron se nikalna phir to aasan ho gaya
jab khayal aate hi tera roshni si ho gaee

darde-dil khud badh ke shayad ab dava hone laga
yak-b-yak kyon es mein aakhir kuch kami si ho gaee

aazma kar teri khuddari ko 'salik' kya huaa
kyon mere shahar ko kuch barhami si ho gee

WASI MOHAMMAD KHAN ' SALIK'
Mob. 8400825290

GAZAL

jo andheron mein mujhe zaya lagti hai
ye buzurgon ki koi mere dua lagti hai 

maujza us ke karam se ye hua hai mujh ko
aaj kal garm hawa bade saba lagti hai

charagar apne buzurgon ka kaha kar dekhein 
gar dua kar ke dawa dein to dua lagti hai

ek manzil hai to phir sath chalo, kyun tum ko
apni manzil meri manzil se juda lagti hai

zindgi ki koi hasrat hi nahin ab dil mein
baddua ab koi deta hai dua lagti hai

es liye band hi rakhta hoon dariche dil ke
khol deta hoon to zakhmon ko hawa lagti hai

koi samjha ke na samjhe teri batein 'salik'
teri har baat samjhta hoon khuda lagti hai

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'
Mob. 8400825290

Gazal

shah samjha na mein apne ko qalandar samjha
jo bhi samjha hai mujhe aap ne behtar samjha

le gaya waqt mujhe tez hawa ke rukh par
mujh ko shayad wo kisi khol ke andar samjha

kis tarh doob ke ubhra hoon koe kya jane 
bas mere gham ki gehrae samndar samjha

waqt ke sath badalta hai nazar ye kaise
ek hi shaks ko rehzan bhi rehbar samjha

chune wale ne hi ek din mujhe samjha aakhir
dekhne wala mujhe rah ka pathar samjha

jiska dar tha mujhe 'salik' wahi anjam hua
haif sab ne meri haq baat ko nashtar samjha

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'
Mob.8400825290

GAZAL

mera  khulus  abhi  mere  bhai  baqi    hai
tu aake baith to ghar mein chatae baqi hai

kisi ke dard ka ahsas sabr aur kirdar
hamare paas hamari kamae baqi hai

karoonga jung burae se aakhri dam tak
mere qalam mein abhi roshnae baqi hai

jo mere ghar mein lagae thi bujh gae lekin
tumhari aag wo dil mein lagae baqi hai

wo nafratoon ka to darya utar gaya lekin
kinare aaj thi patthar pe kae baqi hai

ye meine mana zamana badal gaya lekin
kahin-kahin pe abhi parsae baqi hai

kae daron pe sada de chuka hoon mein 'salik'
bas ek dar ki abhi tak gadae baqi hai


WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'
Mob.  8400825290

Sunday, January 11, 2015

gazal

Maine Izhar muhabbat ka sareaam kiya
aap batlein, bhala ya ki bura kam kiya

sazishien kien, mujhe badnam karne ki lekin
khuda ka shukr hai, jisne unhein nakam kiya

parinde chahaton ke, phir se chehke, aap jo aaye
ye jadu kon sa tumne mere gulfam kiya

na jane sikhkar qatil adayein, kisse aaye hai
teri nigah ne, phir aaj qatleaam kiya


Aachrya Bhagwat Dubey

GAZAL

muskurakar jo tumne nihara mujhe
mil gaya aashqi ka ishra mujhe

tutkar mein bikharne laga tha, tabhi
jane kyon, aapne phir sanwara mujhe

aaj logon ne kitni khushi bakhsh di
naam ke sang tumhare, pukara mujhe


Aacharya Bhagwat Dubey

gazal

raat bhar, aap jo thahar jate
beet, tanhaee ke pahar jate

ruth kar vo chale gaye mujhse
jate-jate to bolkar jate

thothe eman = dhram hein unke
apne vade se jo mukar jate

hadson mein jo ghar ujadte hein
kitne sapne, wahan bikhar jate

AACHRYA BHAGWAT DUBEY

gazal

lakh chehre, hisab mein aaye
unke jaise, na khwab mein aaye

naam ka jaam pe liya tera
ab, nasha kya sharab mein aaye

Saturday, January 10, 2015

gazal

Waqt meri mutthi mein garm ret ke manind tha
Lakh koshish ki magar sarakta hi raha 

gazal

har ek baat jante huye dil manta na tha
hum na jane aitbar key kis marhale mein they  

Friday, January 2, 2015

mehman jo bhi aaye kisi ke makan par

mehman jo bhi aaye kisi ke makan par
uski aman farz hai har mezban par

behtar yahi hai qufl lagale zuban par
varna hasenge log teri dastan par

parvaz us parind ki rokega kis tarh
jo aa gaya ho vaqaee apni udan par

jisne kiya hai qatl use jante hain hum
humko saza milegi usi ke bayan par

phoolon ki sej par koi sota hai chain se
patthar baras rahe hai kisi ke makan par

"Iqbal" tum zara si musibat se dar gaye
lakhon musibatein hain gazribon ki jan par


IQBAL BANNE 'JHANSVI'
Mob. 07275828759