Tuesday, January 20, 2015

Ghazal

rukh pe mayusi nahin aur aankh bhi purnam nahin
dil ko patthar kar liya hai ab mujhe kuch gham nahin

koi roya hain gale mil kar gulon se rat bhar
'kon sa gul hai ke jis par qatrae shabnam nahin'

mein gira achcha hua ye raz mujh par khul gaya
jin ko mein samjha tha humdam wo mere humdam nahin

hum hamesha purkhatar rahon pe chalte aaye hain
sidhi sadi makhmali rahon ke rahi hum nahin

waqt ko marham ne kuch bhar to diye hain zakhm dil
kal jo aalam dard ka tha aaj wo aalam nahin

ye siyasat ke khiladi hein nahin maneinge haar
chal chalne mein kahin koi kisi se kam nahin

lutf kya aayega 'salik' aise jine mein bhala
zindgi ki raah mein gar koi painch-o-kham nahin

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'
mob. 8400825290

No comments: