Monday, January 26, 2015

Ghazal

kisi ki rah ka patthar jo tu hata dega
tere safar ko bhi aasan khuda bana dega

use pata hai ke beeta hai bachpana kaise
ye khushk ped kahani meri suna dega

kabhi vo apna mukaddar jaga nahin sakta
sunhere khwab-o-khyalon mein jo sula dega

karega baat vo phir bastiyan basane ki
magar vo pehle kai bastiyan mita dega

bamon ka zor dikha ke ab aisa lagta hai
jahan mein amn ki vo dhajjiyan uda dega

anaa paraston ko 'salik' nahin hai kya maloom
anaa ka dew unhein khak mein mila dega

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'

No comments: