Tuesday, January 20, 2015

gazal

ab suna hai ke lagaeinge vo bazar yahan
aur kehte hain ke banteinge bahut pyar yahan

rahbar ban kar chale the jo unhin ke hanthon
karvan lut te hue dekha kae baar yahan

dhundne se bhi kahin hum ko mohabbat na mili
yun to har shay ka bahut garam hai bazar yahan

hale dil kis se kahun kis ko mein samjhun apna
door tak milta nahin koe bhi ghamkhuaar yahan

mein mohabbat sare bazar liye baitha hoon
lekin aata hi nahin koe talabgar yahan

ab bhi kehta hoon mein 'salik' ke badal le khud ko
punchta kon hai un ko jo hain khuddar yahan

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'

No comments: