Monday, January 19, 2015

Gazal

zindgi lagta tha jaise ajnabe si ho gaee
gham se lekin jab mile to daimi si ho gaee

doston ko thik se apne samjh lene ke baad
dushmanon se aaj mujh ko dosti si ho gaee

manzilein pane ki khatir meri himmat dekh kar
ye dehakti dhoop mujh par chandni si ho gaee

bas andheron se nikalna phir to aasan ho gaya
jab khayal aate hi tera roshni si ho gaee

darde-dil khud badh ke shayad ab dava hone laga
yak-b-yak kyon es mein aakhir kuch kami si ho gaee

aazma kar teri khuddari ko 'salik' kya huaa
kyon mere shahar ko kuch barhami si ho gee

WASI MOHAMMAD KHAN ' SALIK'
Mob. 8400825290

No comments: