Tuesday, January 20, 2015

ghazal

phoolon se mohabbat to har shaks ki fitrat hai
gulshan mein magar mujhko kharon se bhi ulfat hai

meezan pe rakkha jab ulfat ko adavat ko
palla hai wahi bhari jis par meri ulfat hai

han mein han milate hai din rat jo hakim ki
ab shahar mein kuch aise logon ki hi shohrat hai

mali tere gulshan ke ye kaise muhafiz hain
kaliyon ke masalne ko kehte hain hifazat hai

jangal ke darinde to basti mein nahin aate
ye kon darinde hain jin se yahan dehshat hai

nafrat se kahin apna gulshan na ujad jaye
ae dost mohabbat ki es waqt zarurat hai

kis muh se kare 'salik' rehmat ka bayan uski
kya iski ebadat hai kya uski inayat hai

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'
mob. 8400825290

No comments: