Wednesday, January 21, 2015

Ghazal

sab yahan apne hain apna sa magar koi nahin
us jagah le chal mujhe aye dil jidhar koi nahin

makhmali rahon pe kal ek bhidh mere sath thi
aaj es tapti dagar mein humsafar koi nahin

hai yahan insan ka insan hona hi bahut
jis ko hum samjhein farishta wo bashar koi nahin

aao hum dikhlayein kitne dar badar hain shahar mein
kaun kehta hai yahan ab dar badar koi nahin

dhoond ne wale samandar ki tahon tak jayein to 
pa saka ab tak kinare par gohar koi nahin

hum pe patthar phenkne walo ko samjha de koi
ye wo basti hain jahan shishe ka ghar koi nahin

gham se mat katrao 'salik' un se takrate raho
es se achcha aur jine ka hunar koi nahin

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'
mob. 8400825090