Tuesday, January 27, 2015

Ghazal

hale dil kya puchte ho mujh ko thukrane ke baad
kya mehak sakta hai hoi phool murjhane ke baad

phir hawa hai tez yarab aashyan ki khair ho
phir na aisa ban sa sake shayad bikhar jane ke baad

mere armano ki kashti bhi unhin mein thi sharik
kahtiyan doobin thin jo sahil se takrane ke baad

vo nishan zakhmon se bhi zyada kasak deine lage
jo nishan baqi hain dil mein zakhm bhar jane ke baad

jane kyon rota raha vo kya nazar aaya uuse
aaena dekha jab usne mujh ko dikhlane ke baad

jo nahin paya hai 'salik' uus ka koi gham nahin
gham to bas uus ka hai khoya hai jise pane ke baad

WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'