Monday, January 19, 2015

GAZAL

mera  khulus  abhi  mere  bhai  baqi    hai
tu aake baith to ghar mein chatae baqi hai

kisi ke dard ka ahsas sabr aur kirdar
hamare paas hamari kamae baqi hai

karoonga jung burae se aakhri dam tak
mere qalam mein abhi roshnae baqi hai

jo mere ghar mein lagae thi bujh gae lekin
tumhari aag wo dil mein lagae baqi hai

wo nafratoon ka to darya utar gaya lekin
kinare aaj thi patthar pe kae baqi hai

ye meine mana zamana badal gaya lekin
kahin-kahin pe abhi parsae baqi hai

kae daron pe sada de chuka hoon mein 'salik'
bas ek dar ki abhi tak gadae baqi hai


WASI MOHAMMAD KHAN 'SALIK'
Mob.  8400825290

No comments: