Thursday, August 16, 2007

bichad ke aap se hum ko bada ahsas hota hai

bichad ke aap se hum ko bada ahsas hota hai
jiya is zindgi ko soch ke ye dil bhi rota hai

tumhare bin dhadkne ko mana karta hai mera dil
mera dil sham subha ye duwa karta hai aakar mil
jo mil jao to kuch zindgi ki aas bandh jaye
nahi to ret mutthi se na jane kab phisal jaye
ye diwane ki kismat hai jo hans kar chain khota hai

jiya is zindgi ko soch ke ye dil bhi rota hai

tumhare bin nahin hai chain na dil hai qarar aata
ye dil jo paas main hota to dar pe na bimar aata
mere aansoo meri pharyad koi kam na aayi
wo sangdil hai na mana mane di lakh duhai
khuda se mangta milta na mango kuch na milta hai

jiya is zindgi ko soch ke ye dil bhi rota hai

ajab hai pyas is dil ki nazar aaye to bujhti hai
nahi milta hai jab mehboob to sholoon si bhadhakti hai
ye dil hai bada nadan ise samjhaun main kaise
wafadari nahin fitrat use batlaoon main kaise
mera dil bhola bhala sida sada mujhe mehsoos hota hai

jiya is zindgi ko soch ke ye dil bhi rota hai
bhichad ke aap se hum ko bada ahsas hota hai
jiya is zindgi ko soch ke ye dil bhi rota hai

mazhar ali "kasmi"