Sunday, October 28, 2007

pahele uus ne prit badai phir dhoke se war kiya

pahele uus ne prit badai phir dhoke se war kiya
aaj bhi mera dil kehta hai kya ye tu ne yar kiya

wo hi dil main basta tha, wo hi dil main basta hai
bholna chahain bhol na payein jane kya yeh rishta hai
us ke dil ki wo jane, main apne dil ko jane hoon
meri preet nahin hai jhote, apne prem ko pahchane hoon
bhol gaya wo kasme wade mukra aur inkar kiya

aaj bhi mera dil kehta hai kya ye tu ne yar kiya

meri rooh main rachi basi hai jaise pholoon main khushbu
us ka roop hai sahaj salona aur hai nayno main jadoo
us ki tikhi chitwan se main bacha na paya es dil ko
dauan laga baitha bin choche kaise bataun mehfil ko
pyar main bin shoche samjhe ek tarfa ekrar kiya

aaj bhi mera dil kehta hai kya ye tu ne yar kiya

dard se rishta jod ke mera mujh ko bahut rulaya hai
main jhonka tha mast hawa ka gham se mujhe milaya hai
sham sawere har pal har dam naam main us ka leta hoon
koe khata ho koe galte apne sar le leta hoon
usko main mahfooz hakhe hoon aise maine pyar kiya

aaj bhi mera dil kehta hai kya ye tu ne yar kiya

pahele uus ne prit batai phir dhoke se war kiya
aaj bhi mera dil kehta hai kya ye tu ne yar kiya

mazhar ali "kasmi"