Saturday, January 31, 2009

voh jane tamanna se kar lega jo yarana

voh jane tamanna se kar lega jo yarana
har rajo alam gham se ho jayega begana

kundan sa badan tera chandan ke tarha mehke
zulfein hein ghataein to aankhein teri meikhana

mukhda hai kanwal jaisa aur phool si hain bahein
ab kaun na chahega en bahoon mein mar jana

har phool mein kaliyon mein gulshan ki fazaoon mein
sab mein hai mehak teri aye nargise mastana

mana ke voh zalim hai, qatil hai, sitamgar hai
hairat hai, jise dekho uska ki hai deewana

es aalamein gamgin mein tujhse hi to rownaq hai
jo tu na kahin hota ban jata yeh ghamkhana

voh lutfo karam ho ya bedado sitam tere
har hal mein hoon mein to bas tera hi deewana

hai shart 'qamar' uski dil usko hi voh dega
de de jo uuse jano eman ka nazrana

haji mohammad siddique khan 'qamar'

No comments: