Tuesday, November 3, 2009

ghazal

bin tumhare basar kiya humne
yun bhi tanha safar kiya humne

tumne jiti hai saltanat lekin
dil mein logon ke ghar kiya humne

aaj ke daur mein wafa karke
apne daman ko tar kiya humne

wajah uspe yaqin ki mat puncho
na tha karna magar kiya humne

vo uthate hein ungliyan hum par
jinmein paida hunar kiya humne

unki yadon ke jaam pi pi ke
dard ko beasar kiya humne

jaanta hoon ki bewafa hai vo
sath phir phi guzar kiya humne

jab bhi duniya pe aitbar kiya
khud ko hi dar-badar kiya humne

dosti mein mita ke khud ko 'soz'
dosti ko amar kiya humne

ram prakash goyal 'soz'

No comments: