aane se tere mehfil meri jawan hue hai
jao na dastan ye puri kahan hue hai
janmon janam ka bandhan mete se na metega
rango chaman-o-khushbu sab meharban hue hai
tum jaise chaho mujhko aazmao aazmalo
teri nazar hamari kyon aashna hue hai
ilzam mere qatal ka na mana magar teri
chadar mere lohu se sani dagdan hue hai
kutiaa hoon main gharib ki na mujh se puchna
kitne amir aaye kab lahu-luhan hue hai
izzat bacha rahi hai beti gharib ki
jab bhi luti, padhi gae, bas dastan hue hai
kaise numayan kar doon "mazhar" main ashq apne
enko hi pi hasin meri ek kehkashan he hai
mazhar ali "kasmi"
Sunday, September 28, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment