hamare sabr se pat-thar pighalnewala hai
jalalo qahar ka suraj nikalnewala hai
main khaq-pa tha mujhe aate jate logoonne
lageke thokrein har simt ko uchala hai
yazid laut ke bashakle bush ke aaya hai
yazede karbo-vala phir se hone wala hai
zamana dekhega manzar teri tabahi ka
tere ghurur ka suraj bhi dhalne wala hai
esi khyal se ratoon ko main nahin soya
chirage aman ko ajgar nigalane wala hai
har ek simt se farshe zamin kanpeinga
zuban se aalah-ho-akbar nikalne wala hai
tere junoon paharoon ki tarha hai "rehbar"
tere zamir ka duniya main bolbala hai
salim uddin "rehbar"
Sunday, September 28, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment