bajaye moom ke isne mujhe pathar banaya hai
kisi ne hanth beti ke riwazan peele karne ko
bujurgoon ke ye khappar bench ke zebar banaya hai
usi ne aaj bangle shahar main tamir kar dale
hamari cycle ka jisne kal panchar banaya hai
makan mera bane uncha padosi ke makan se bhi
ghinoni sonch ne insan ko badtar banaya hai
vo roti bhi nahin deta hai ab maa baap ko apne
jinhoonne bech kar sab kuch use afsar banaya hai
samajh main kuch nahin aata main aakhir kya kahoon usko
hava ke shahar main kagaz ka jisne ghar banaya hai
muhabbat raas aati hi nahin "rehbar" kabhi hamko
usi ne dil dukhaya hai jise dilbar banaya hai
salim uddin rehbar
No comments:
Post a Comment