jisse kehte kehte hara pyar main bhi vyapar na kar
khud soti hai gele main, hum ko nahin jagati hai
mamta ki khatir sehti hai, uus maa ka triskar na kar
bhed bhav ki aag lagake mana roti sik jayegi
tere hath bhi jal jayeinge, phoolon ko angar na kar
tusti tusti chillate ho, halat bad-se-badtar hain
aisi tusti pas main rakh, aur ham ko ab hamvar na kar
tum gate ho geet khushi ke, hum baithe haim hosh havan
phir bhi ham hain harjae, jhoonta ye ilzam na dhar
hum dete paigham pyar ka, pyar hi hamne sikha hai
"mazhar" keh do manlain vo, es bat se to inkar na kar
mazhar ali "kasmi"
No comments:
Post a Comment