kahani bhogta hoon jo vahi tumko sunani hai
hamari es kahani main na raja hai na rani hai
unhein bhagwan se nafrat, enhein allah se nafrat
na unko sharm aani hai, na enko sharm aani hai
dhindhora peet-te ho roz kis munh se tar-raqki ka
tumhari es hukumat main na bijli hai na pani hai
zaruri hai ki pani aankh ka zinda rahe, aakhir
yahi ek cheez kal ke vaste humko bachani hai
jai chakravarti
Sunday, September 28, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment