hum kabhi na tujhe ye bata paeinge
teri batton ke bin kaise kat-te hai din
hum kabhi na tujhe ye bata paeinge
tujhse milke agar humne batein na kein
to haya vo ada hum kahan paeinge
hum kabhi na tujhe ye bata paeinge
pyar tera mila, pyar tujhse kiya
pyar aisa jahan main kahan paeinge
ab to tu hi bata ae mere dilruban
kaise jujhse bichadkar ke reh paeinge
hum kabhi na tujhe ye bata paeinge
chand ki chandni jyoti ki roshni
jaise chaye huye ho mere maan main tum
tere didar ki dil ko khwahish hai ab
tujhko dekhe bina hum na reh paeinge
hum kabhi na tujhe ye bata paeinge
sath tere chale thee jahan hum kabhi
raah suni padi hai vahin aaj bhi
laut kar aao tum, tumko meri qasam
ab tumhare bina hum na ji paeinge
hum kabhi na tujhe ye bata paeinge
neha chachara
Sunday, September 28, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment