apna ghar mujhko kisi ghair ka ghar lagta hai
jane kyon ab daro diwar se dar lagta hai
chain se rehne nahin deti hai zaroorat mujhko
meri kismat main likkha jaise safar lagta hai
jo qalam baich diya karte hai sikkon ke liye
uun qalamkaron ke akhbar se dar lagta hai
aaj bhi milte hain yusuf ke kharidar bahut
par nahin misra ka bazar edhar lagta hai
chod ke jabse gaye aap zamane main mujhe
tabse dushawar akeley ka safar lagta hai
mulq barbad na ho esliye chup rehte hain
varna kab hamain yalghar se dar lagta hai
hum jo khamosh main to aap na aisa samjhein
ke hamein aapki sarkar se dar lagta hai
tum kisi se koi ummid na karna "rehbar"
ab to insan ke saye se bhi dar lagta hai
salim uddin "rehbar"
No comments:
Post a Comment