mehkte phool khila dekh paida khar na kar
chaman ko khofzada maousame bahar na kar
sitam ke hanth hiqarat bhari nigahoon se
sukune aaman ke daman ko tar tar na kar
hamara war hi na tujhpe pheslakun ho
ye pahele soch le bin soche humpe var na kar
tera qabila bhi barsoon-baras na panpega
tu rah khoon kharabe ki ekhtayar na kar
khizan main sirf dikhane ke vaste tu bhi
baha ke khoon parindo ka lalazar na kar
hamare mulk main har dam rahi hai yaqzahti
diloon main kadhwe bayanoo se tu darar na kar
tu apni gandgi siyasat ki behtari ke liye
kisi bhi din kisi dharm ka shikar na kar
jahan pahuchna hi mumkin nahin hai ye "rehbar"
tu khud ko uotni bulandi ka davedar na kar
salim uddin "rehbar"
Sunday, September 28, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment