kiski jeet honi hai kisko har jana hai
ek taraf akela vo ek taraf zamana hai
maut zindhi main bas etna farq dikhta hai
zindgi bhi dhoka hai maut bhi bahana hai
gham diye hain jo mujhko apne hi azizon ne
kuch ko yaad rakhna hai kuch ko bhool jana hai
har taraf andhera hai nafratoon ka saya hai
ek diya mohabbat ka charsu jalana hai
ram ka vo mandir ho ya ho babri masjid
siyasati daridoon se usko ab bachana hai
hindu aur muslim hum baad main bane yaroon
bharti hain pehle hum sab ko ye batana hai
kal meri amiri main vo jo sath rehte thee
muflisi main ab "rehbar" unko aazmana hai
salim uddin "rehbar"
Sunday, September 28, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment