mujhse nafrat hi sahi lafzon ke magar var na kar
jism masoom parindoon ko lalazar na kar
apne bachchoon ki jo kha jata hai jhoote kasmein
aise makkar darinde pe aitbar na kar
kya dalilon se kabhi dil ke daag mait-te hain
jo haqiqat hai haqiqat ko darkinar na kar
jo das chuka hai kai nounihaloon ko
tu aise naag se rah dur usse pyar na kar
dava ke naam pe ek dost ko zahar dekar
vafa parasti ke daman ko tar-tar na kar
vafa ke naam pe jisne jafa dikhae hai
vafa parastoon main uus naam ka shumar na kar
tu raaz ko raaz hi rakhna to thik hai "rehbar"
khol kar raaz mussabbir ko sharmsar na kar
salim uddin "rehbar"
Sunday, September 28, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment