kashti ke musafir ko theharte nahin dekha
divanoon ko anjam se darte nahin dekha
apne vatan ki raah main jo ho haye shaheed
uus shaks ko humne kabhi marte nahin dekha
apnoo ka diya zakhm mitaye nahin mit-ta
es zakhm ko humne kabhi bharte nahin dekha
munsif uuse kehte ho magar ye to batao
insaf to humne uuse karte nahin dekha
kata hai paharoon ko aur raah banae
dariya ko kabhi humne thaharte nahin dekha
insan ki hasti to yahann fani hai lekin
fankar ko humne kabhi marte nahin dekha
tauhin buzurgoon ki jo karta hai yahann "ashq"
uus shaks ko duniya main ubharte nahin dekha
usman "ashq"
Sunday, September 28, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment