dilon main vo utar pata nahin hai
sahi jiska labo-lehja nahin hai
ye musa ko samjhna chahiye tha
khuda ka noor hai, jalwa nahin hai
musalman ko hi bakhsha jayega bas
nigahe rab main kuch aisa nahin hai
galatfehmi main ho tum sheikh sahab
ke momin ka khuda sab ka nahin hai
yaqin rakhkar jo mangei uus duva par
khuda bande se laparvah nahin hai
payamber kya koi paighambar bhi
ki salon sal se aaya nahin hai
buzurgon ka karam hai hum pe "rehbar"
kisi ne aaj tak toka nahin hai
salim uddin "rehbar"
Sunday, September 28, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment