aankh se aankh meri jaan milaya na karo
jhunte vadoon ke mujhe jaam pilaya na karo
mere aansu teri aankhoon main na aa jayein kahin
yadon ko meri kabhi dil pe sajaya na karo
chand maila na koi karde nazar se apni
apne chehre pe yun zulfon ko hataya na karo
dil na kho jaye tera dil ko lagane vale
mari tasvir ko tum dil se lagaya na karo
phir ghatayein na machal jayein barasne ke liye
chat pe ja ja ke kabhi bal sukhaya na karo
mit nahin sakti dilo-jan jigar se tere
naam likh likh ke mera roz mitaya na karo
jisko aata hi nahin pyar nibhana "rehbar"
aise dilbar se kabhi dil ko lagaya na karo
salim uddin "rehbar"
Sunday, September 28, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment