khushkismat hai vo bhai jiski pyari behna hai
bhai behan ka pyar jahan ho uus ghar ka kya kehna hai
behna ne bheji jab rakhi, bhai ne laaj bachae hai
ek ek dhage ki qimat usne khoon se chukae hai
nahin jahan main bhai hai aisa, kahan jahan main behna hia
bhai behan ka pyar jahan ho uus ghar ka kya kehna hai
bhai-behan ke pyar ki qimat jo samajh lega bhai
behan nichawar ho jayegi, rok sakega na koi
ye baat zara si samjhana aur hamein samjhna hai
bhai behan ka pyar jahan ho uus ghar ka kya kehna hai
bhai behan ke pyar pe to farishte bhi hote qurban
esiliye rakha gaya, aala darje pe hai insan
qudrat ko bhai ko behna, behtreen nazrana hai
bhai behan ka pyar jahan ho uus ghar ka kya kehna hai
khushkismat hai vo bhai jiski pyari behna hai
bhai behan ka pyar jahan ho uus ghar ka kya kehna hai
mazhar ali "kasmi"
Wednesday, September 24, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
Bahut-2 shukriya majhar sahab eyse khayalat ke dil dolne laga masoom sa khamosh rahne wala bhi AZIZ wah wah bolne laga. mail-siddiquiaziz1@gmail.com ..............AZIZ SIDDIQUI..........

Post a Comment