suna hai gharbar mera suni dil ki basti hai
mujhko mila sakega usse, kya teri ye hasti hai
ishq main aashiq hi aisi baat karega himmat ki
baqi jan keh sakte hai marzi jaisi kismat ki
aashiq ko kan-kan main har pal aata hai mehboob nazar
dhup chav barish pani ka hota nahin hai uus pe asar
duub duub ke tairti jaye vo aashiq ki kashti hai
mujhko mila sakega usse, kya teri ye hasti hai
jaan se zayada parvah dil ki aashiq hi kar sakta hai
pyar ki khatir aashiq hi sau bar yahan mar sakta hai
ishq main deewana, shaidae, pagal bhi ho jata hai
khali hanth bhale hoon uske khud ko shahenshah pata hai
mast malang ko kya hogi vo aashiq ki masti hai
mujhko mila sakega usse, kya teri ye hasti hai
ishq karo bhale tum lekin aisa ishq na tum karna
laaj sharam ko taaq main rakh kar koi qadam nahin dharna
aashiq ka dil jo kehta hai, mana ishq ebadat hai
lekin karo shariq agar to vo gunah hai biddat hai
ishq karo sharam rakho, mano na ye tangdasti hai
mujhko mila sakega usse, kya teri ye hasti hai
suna hai gharbar mera, suni dil ki basti hai
mujhko mila sakega usse, kya teri ye hasti hai
mazhar ali "kasmi"
Friday, September 26, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment