sach bolna es daur main dushwar ho gaya
munsif bhi qatiloon ka tarfdar ho gaya
chubhne lage hain lafz mujhe khar ki tarah
lehja bhi mere yaar ka talwar ho gaya
deta jo sath jhoot ka hoti na tujhko qaid
sach bolne pe jo tu giraftar ho gaya
maine erada kar liya khoonrez banuga
hakim ko mere qatiloon se pyar ho gaya
kal tak jo hansi bant-ta rehta tha bazm main
kya ho gaya ki aaj vo khunkhar ho gaya
maya ka mulayam ka kabhi bha ja pa ka hai
mauqa parast aaj ka akhbar ho gaya
"rehbar" tere qadmoon ne uuse jab se chua hai
pathar vo raste ka chamkdar ho gaya
salim uddin "rehbar"
Sunday, September 28, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment