Wednesday, February 11, 2009

ab ujale andheron se darne lage

ab ujale andheron se darne lage
dekhkar door se hi guzarne lage

waqt ki karvatein to zara dekhiye
hans bagulon ke ghar pani bharne lage

gayein bechari marne lagein bhonk se
aadmi ghas ko jab se charne lage

zulm ki bastiyan bas rahin raat-din
pyar ke gaon din-din ujadne lage

hasraton ke gale phansiyon par chade
dil ke arman bemaut marne lage

ab to mausam bhi hanton mein pathar liye
paglon ki tarha chot karne lage

jin parindon ko pala bade pyar se
log unke hi pankhe katarne lage

ghav bharne 'shiva' jab dava na mili
aur karte bhi kya aah bharne lage

Dr. shivaji chauhan ' shiva '

No comments: