Sunday, February 22, 2009

mehfil mein bulaya hai bade inkram se mujhko

mehfil mein bulaya hai bade ikram se mujhko
phir usne nawaza bade ilzam se mujhko

aadat se hai majboor udu vo bhi kare kya
takleef pahunchti nahi dushnam se mujhko

khilat ki tamanna na shohrat se sarokar
logon ne nawaza par inaam se mujhko

kis muh se miyan karte ho tum mujhse shikayat
kya tumne nawaza hai paigam se mujhko

hai uska karam khoob nawaza mujhe usne
do june ki mil jati hai aaram se mujhko

meidane amal main hoon mein adna sa sipahi
din raat sarokar hai es kam se mujhko

qanoon ke rakhwale hi qanoon shikan hain
phir kaun bacha payega ilzam se mujhko

har daur mein firaun rahe hain aur raheinge
karte hain khabardar jo anjam se mujhko

nakarda gunahoon ki saza yoon bhi mile hai
hai saabka jo gardishe aalam se mujhko

phoolon ki koi khushbu yahan laya churakar
aati hai mehak mujko daro-baam se mujhko

hai naam 'mubeen' aur takhllus bhi yahi hai
aur loog pukare hai esi naam se mujhko

mubeen 'konchvi'

ikram - izzat
udu - dushman
dushnam - dushman
khilat - degree - sanad
adna - chota
qanoon shikan - qanoon todnewale
nakarda - jo nahin kiya
saabka - vasta
gardishe aalam - musibatein
dar - darwaza
baam - balcony - chajja

No comments: